Malik495
Chief Minister (5k+ posts)
rida bibi kuch sense of humour bhi hota hay.. ham aksar apni guftugu men jab kisi ahmaq admi ki baat pr ghussa hotay hain to aksar yehi kahtay hain yaar tu bhi hazrat hay.... aur yeh hazrat usay izzat denay k liye nahi usay sharminda krnay k liye kaha jata hay.. Urdu zuban men guftugu ki istalah different mokon pr different hoti hay.. jis tarah proverbs hain ab koi banda kisi kaam ka daawa to kray lakin waqt anay pr wo na karay to yeh kaha jata hay k naach na aye angan terha.. ab iss men koi sochay k itnay shareef admi ko aap ne naachnay wala kasay likh dia...yahan kissi nein zardari ko hazrat likah hey. eis say aus admi ki mental appraoch ka pata chulta hey. baat woh hi hey hum loag fact face nahein kur suktey. pakistan mein majoodah politians mein koi huzart nahein na nawaz sharefa na zradari infact huzrat woh admi hey ju aunko huzart likah reha hey kyun key koi ajooba hi ein plotians ko huzart keh sukta hey. huzrat word eik mouhazab word hey lekin humraye politians deserve nahein kurtey aun key liey yeah word use kia jiey.
facts ko face kuru ghulat ko ghulat bolo. aur apni memeory ko upgrade kuru kyun key hum pakisatnioon ki memeory kafi short hey.
to baat sirf itni si hay k kuch jumlay tanz k nishtar ko soch kr likhay jatay hain.. aur asif zardari ko hazrat sirf iss base pe likha hay k jis tarah faisal abdi usay paish kr rahay hain uss se to yeh lagta hay k pakistan men asif zardari se bara shareef abhi tak koi paida hi nahi hua.. Khuda ki panah.. lakin agar kisi ki dil azaari hoi hay iss baat pr to wo jaan le k sooraj maghrib se bhi nikal jaye to yeh baat saabit nahi ho sakti k zardari shareef admi hay.....