truthfollower
New Member
Dear Friends!
Hazrat Ali (RA) ne Farmaya hai k, " yeh na dekho k kaun keh raha hai, yeh dekho k kya keh raha hai"
Hasan nisar ne to sab kuch bakwas hi kaha hai yar zara bhi sharam nahin aayi.
chalo yeh to jhoot hi bolta hai, bara kameena hai, har waqt hi kosta hai logon ko, satak gaya hai. muslim history ko bura bhala kehta hai. hamara pakistan to best hai. dunya ka sab se taraqqi yafta mulk hai wo to hum america se aisay hi madad lete hain( aap zara pakistan k budget ko zaroor parhein) ham logon ka mulk to saaf hai, woh to scotland ganda hai ( mein do dafa scotland ja chuka hoon aur mujhe pata hai k kaisa hai. Itna khoob soorat hai 3 lafzon mein byaan nahin kiya ja sakta). yeh to aisay hi technology ka taana de gaya hai halan k hum ne to kamal kiye hain yeh elahda baat hai hamari zyada tar qoum ko internet pe social websites aur ghtiya websites pe kaam karnay k elawa kuch nahin aata.
ab is ko sharam aani chahiye thi k doctoron ko chor keh gaya halan k unhoon ne Wasim Akram aur is jaisay hazaron logon k sath kya us se un ko maseeha kehna chahiye ( rishwat k baghair to kisi bhi mehkmay ka banda aap ko nahin dekhta yeh to sirf doctron ki baat kar gaya). pata nahin England mein jab tak beemari ki samajh na aaye to yahan k pagal doctor koi bhi nuskha( prescription) kyon nahin likh k dete.
hamaray mulk mein to koi bhi benchon ke lohay nahin bechta sab jhoot hai. aur bijli aur fone ki taarein to pata nahin kis me churayin yahan pakistan mein to kuch bhi aisa nahin hota.
aur akhir mein yeh jo un bhaii saab ne jo hal diya hai yeh to bara hi holnaak hai. apna aap bachana chahiye apni naslon ka doosron ka sochnay ki kis ko zaroorat hai.
Aap ek dafa zara har ek cheez ko socho phir dekho k kya yeh sach nahin jo kuch hasan nisar ne kaha hai. har columnist kuch na kuch kar hi raha hai. magar mere khal se hasan nisar hum mein neem murda rooh ko baidar karnay ki koshish kar raha hai.
Sorry hasan nisar sahab mein ne apnay in doston ko in ki zuba mein samjhanay ki koshish ki hai.