Ji, to aap k khattak sb KPK main kya ker rahay hain, Asad Umar Isb main kya ker rahay hain? issko aap hukomat nhi kehtay?
ji haan aap k party election bhi aisy hi huay thay jaisay 2013 k general election, itni dhandli hui thi k saari party walay cheekh rahay thay... abb yeh kaisay ho sakta hay k IK ko apni party k andar k elections ki hi samajh na ho k dhandli ho kahan rahi hay? aur agar waqayee nhi pata chala to yeh shaks kisi party ka chairman honay ka kitna haqdaar hay, yeh app khud hi soch lain...
Nahi, dunay main woh bhi kahawat hay k chorr machaye shorrrrrrrr. I agree with you on this.
to phir ussi party uhday k bal bootay pe milay huay sarkari uhday kyun nhi wapas liye gaye? yeh to technically hi ghalat baat hay... aik seat aik party ne jeti hay, ya kisi azaad umeedwar ney ? jab uski party ka hi uhda ghalat hay, to uski rukanyat bahal nhi reh sakti aur iss soorat main uss sey sab sey pehlay sarkari seat wapas leni chahiye.
Yaar apnay hi bhai bando k khilaf kya ahtijaj kertay,,, woh bhi corrupt aur yeh bhi...
to woh election comission kis ki sidarat main kaam kerta hay? aur kya woh party ka hissa nhi hota??? main ney bhi yehi kaha tha...lagta hay abb aapko neend a rahi hay... chalain kal baat ker laingay iss pey... doabar sey thread ko parhyega.
PML (N) ki baat aati hay to aap log usko dosri party samjh k kyun nhi chorr detay..... halankay unn k pass bhi hukumati seats hain aur aap k paas bhi... aur yeh mere liye nayee ittila ho gi k jo log intra party election main dhandli ker k aaye thay unhon ney apnay halqon main saaf aur shaffaf election kerwaye thay... PML (N) ki lead itni thi k unhain koi faraq nhi parta tha, warna dastanain aapki bhi khul jani thi