Must read the talk between two PTI Leaders..........
/
/
Hamari malumat kai mutabiq, jokeh ghalat bhi ho sakti hen, ye mamla kuch ziadah hi gol mol nazar aa raha hai. Yani, Rabia Zia ko muk muka policy ke tehat side line kia gia hai taake 2 to 3 million ponds ki khurd burd ko dabaya ja sakai, aur agar ye mamla dunawi sateh per aa jaey tau sara ilzam Rabia Zia per daal ker khud ko bariuzzimma qarar dilwaia ja sakai. Rabia Zia ke hi paas sarey accounts huwa kertai thai jo public sai intehaai kufia rakhai jatai thai. Ye bhi urz karta chaloon keh Rabia Zia ko siasat ki abcd bhi nahin aati, aur unhon nai UK men apna pressure group sirf IK ko blakcmail kernai ke liey hi banaia tha. Baat agar nikli tau iss sai bhi kaii gunaa ziada tak jaey gi. Hamari malumaat ke mutabiq IK aur Rabia Zia ke darmian finances sai mutaaliq beshumar raaz hen jinko Rabia Zia Saheba khoob achchi tarha kesh karti rahengi kionke unhain khoob achchi tarah ilm hai ke agar IK nai unko yani Rabia Zia ko ziada aankhen dikhanai ki koshish ki tau ye baat phir IK ki Behnon ko bhi apni zad men ley aaey gi. Chunanchai hamari soojh boojh ke mutabiq iss mamlai ko jald az jald khamoshi sai sula dia jaey ga.
Hamen tau yahan tak suunai ko mila hai keh Rabia Zia kehti hen keh IK nai Niazion per mushtamil kufia empire khri ker rakkhi hai, aur dunia bhar ko taasur ye dia jaata hey keh Pakistan men IK se ziada koii aur doosra ghareeb siasatdan peda hi nahin huwa.
Lekin doosri taraf ye bhi hai keh aap suni snaii baaton ka yaqeen bhi nahin ker saktai. Baharhaal, ajkal is mamley per London men khoob garma garmi chal rahi hai. Aur baqriid kai baad kaafi baaten manzar-e-aam per aanai ka andesha hai.
Agar men IK ki jagah hota tau men in tamam suni sunai baaton ki qomi sateh per wazahat ker deta takeh aanai waaley khadshaat sai bacha ja sakai.
Ye kehna bohat aasaan hai keh esi fuzul baaton ke liey hamarai paas koi waqt nahin.
Agar meri in baaton sai kissi ki dilaazari hui hai tau men mazrat khoa hun.