Tauheen e rasalat tab nahi hoti jab eik muslman jhoot bolta hai, fraud karta hai, dhooka daita hai, ghareebon ka haq marta hai, rishwat laita hai, choor bazari karta hai, kisi ko bewaja qatal kar daita hai, behaya’e aam krta hai, aur her wo kaam krta hai jo Hazoor (SAW) ki talimaat aur sunnat k khilaaf hein.
Koi muje ye tu bata’ey kah agr koi shakhs apne baap ki ya maa ki baat nahi manta aur wo har kaam ulat krta hai tu ham usse society mein kya kahta hein. NA FARMAAN AULAAD. Jo apne parents ki izzat nahi krta aur baat nahi manta yaani unki tauheen karta hai. Tu hazoor (SAW) ki sunnet per amal kr k ham unnki tauheen nahi krtai.
Ye khoob raha kah eik tauheen karnai waala doosrai pe tauheen e rasalat ka ilzaam laga raha hai. Yaani kah choor b kahai choor choor SO naqaalon se hoshiyaar rahyai. Pleaase try to get the knowledge of islam and everybody does research themselves. I hope you will know better instead of going to these so called Scholars of islam