Kuttay (Awam)
by Faiz Ahmed Faiz
yeh galyoun ke aawara baikaar kuttay,
ke bakhsha gaya jin ko zouq-e-gadai,
zamanay ki phitkaar sarmaya unka,
jahaan bhar ki dhutkaar inn ki kamaai
na araam shab ko, na rahat sawairay
ghalazat mei ghar, naaliyoun mei basairay
jo bigrhain tou ikk doosray se larhadou
zara aik roti ka tukrha dikha dou
yeh harr aik ki thokrain khaanay walay
yeh faaqoun se uktaa ke marr janay walay
yeh mazloom makhlooque garr sarr uthaey
tou insaan sabb sarr-kashi bhool jaey
yeh chahein tou dunya ko apna banalein
yeh aaqaoun ki haddiyan takk chabalein
koi inko ehsas-e-zillat dila de
koi inki soui hui dumm hilaa de...