Afaq Ahmed did talk in a more tolerant and educated way. Lekin yeh bhi hosakta hai key yeh usne majboori mein kiya ho,since he's not in the ruling coalition warna iske baray mein bhi suna tha key yeh maar peet karta hai journalists ke saath.MQM waloun ne ek zamane mein media ke saath kya kya kiya tha,akhbar ki copies waghera jaladalein thein,us waqt bhi Afaq Ahmed sahab MQM ke worker thay Altaf ke under. Aakhri clip mein anchor ne yeh baat bhi sahi ki thi key yeh kaise mumkin hai key Altaf Hussain ne agencies wagehra se contact rakha,paise liye aur Afaq Ahmed ne kuch bhi nahi hasil kiya is douran. Afaq tau close aide tha Altaf ka us zamane mein. Issiliye Afaq Ahmed ko bhi koi Sufi buzurg nahi samajhna chahiye. Aisa nahi hai key Altaf Hussain aur Afaq Ahmed mein se aik Shakti Kapoor aur dosra Shahid Kapoor hai.....Aur yeh Muhajir cause kya hai? Mere khayal mein Afaq Ahmed ko retire hojana chahiye aur public ke saamne 1980s ki poori history sunadeni chahiye key kaise APMSO aur baad mein MQM bunee jismein yeh aur Altaf waghera saath thay.Aur kin logoun ne 1980s mein ethnic tensions aur differences create kein ya bhadkayein. Aisa karke woh apna inteqam bhi layleinge aur public ki bhalaee bhi hojayegi.