Re: Hamare Nabi S.A.W Ka Gair Muslimon k Sath Husn E Akhlaq [Subhan Allah worth Listening]. Beautiful Bayan by Maulana Tariq Jameel
asal baat logoon ke amaal nahin hen agarche keh woh anbiyaa hi kyun na hun, asal baat deene islam hai aur deene islam ki saheeh samajh boojh hai jis ki wajah se anbiyaa ko bhi woh kuchh karna pada jo deene islam ne un ko bataaya. isi wajah se un ke amaal yani kaam kaaj achhe qaraar paaye kyunkeh un kaamu ne insaaniyat ke liye achhe nataaij peda kiye. kisi nabi ne bhi woh amaal nahin kiye jin ko ham mazhabi tor per anjaam dete hen. agar anbiyaa bhi hamaari tarah mazhabi amaal karte to logoon ko kuchh bhi faaida na ponchta aur woh duniya ki zindagi main kaamyaab insaan nah kehlaate. woh kaamyaab isi liye kehlaaye keh unhu ne achhe insaani maashre qaaim kiye jo misaali the. isi ko sunnate anbiyaa kehte hen yani anbiyaa ka raasta jo un ko khudaa ki taraf se diya gayaa tha yani deene islam yaa zindagi guzaarne ka woh raasta jis per chal kar insaanu ko baa izzat, khushhaal aur pur aman zindagi mil sakti hai.
aaj musalmaan is liye tabaho barbaad nahin hen keh woh mazhabi amaal nahin karte balkeh is liye keh woh deene islam ko jaante tak nahin hen aur un ka ornaa bichhona mazhab hai yani mazhabi zehniyat aur mazhabi amaal. woh jis baat ko apne apne zehnu ke mutaabiq islam samajhte hen us per amal kar rahe hen magar us ka koi achhaa najeeta nahin nikal rahaa. wajah yeh hai mazhab qowmoon ki tabahi aur barbaadi ka sabab hota hai kyunkeh mazhab insaanu ko asal duniya se kaat deta hai aur duniya hukamraanu aur sarmayadaarun ke haath de di jaati hai taa keh woh apni marzi ke mutaabiq is ko chalaayen. lihaaza jab hukamraan aur saramaayadar duniya ko apni marzi ke mutaabiq chalaate hen apne apne zaati mufadaat ki bunyaad per to logoon main taqseem peda ho jaati hai aur yun woh apas main jango jadal main mubtila ho jaate hen. isi ke nateeje main qowmoon per tabahi aur barbaadi aa jaati hai aik arse ke baad jab hukanraanu aur sarmayaadaarun or mazhabi rahnumaoon aur awaam ke aik doosre per zulmo sitam had se badh jaate hen. For proper understanding of the quran and deen of islam see
HERE and
HERE.
aaj ummat build karne se behtar naiki ka koi kaam nahin hai. is liye keh jab bhi ummah ka wajood na ho yaa toot phoot gayaa ho to us ko az sare nau wajood main laana yaa us ki murammat karna hi asal deene islam per amal karna hai. is liye keh jab tak ummat ka wajood na ho deegar naikiyoon ka sawaal hi peda nahin hota. isi liye aate hi har nabi ne ummat saazi per kaam kiya. jab tak logoon ko ehtmaad main na liya jaaye keh woh aik doosre per poora poora bharosa karen ummat wajood main aa hi nahin sakti. logoon ko aik doosre per poora poora bharosa karne ke liye bahot kuchh seekhne aur sikhaane ki zaroorat hoti hai warna koi bhi doosrun per bharosa kyunkar kare ga? isi liye logoon ka quraan ko saheeh tarah se samjhna aur samjhaana zaroori hai taa keh woh saheeh maani main quran per bharosa kar saken aur aik doosre ke liye jeene aur marne ke liye tayaar ho jaayen. yahee wajah hai quran ko saheeh tarah se samjhe baghair ummat wajood main nahin aa sakti na hi layee jaa sakti hai.
agar log ikhathe ho jaayen quraan per to logoon ki zarooriyate zindagaani hoti hen un ka kia kiya jaaye yaa woh kaise poori ki jaayen? isi liye ummat ko mulk ki zaroorat padti hai taa keh un ko wasaail haasil ho jaayen zindagaani ki zarooriyaat ko poora karne ke liye. pakistan is dor main isi liye wajood main laaya gayaa tha. albatta logoon ki zarooriyaate zindagaani poora karne ke liye khud logoon ko hi kaam karna ho ga mil jul kar munazzam aur regulated tareeqe se tab jaa kar log apni zarooriyaate zindagaani ko poora kar saken ge aik qowm ki hesiyat se. isi liye yahee baaten hi asal deene islam ki bunyaad hen kuchh aur nahin.
ab in baatun ki roshini main dekho salaat, sowm, zakaat aur hajj ke kia maani ho dakte hen yaa deene islam main naiki ka tasawur kia ho sakta hai? salaah ka maani hai ummat qaim karna ie bring about and maintain network of proepr human community based upon the quran. sowm ka maani hai aisi baaten karne se rukna jo ummat ko tod phor den, zakaah ke maani hen aise kaam karna jin se ummat mazboot ho aur us main taaqat aaye. hajj ka maani hai ummat ke liye mulk qaaim karne ke liye jido johd karna aur jab mulk qaaim ho jaye to us ko maintain karne ke liye jidojohd karna taa keh mulk toote nahin aur ummat barbaad na ho.
azaan ke ilfaaz ka bhi yahee maani hai. khudaa hi badaa hai insaan sab bhai bhai hen. yeh paighaam muhammad khudaa ke rasool ne diya hai khudaa ki taraf se insaanu ko. lihaaza is baat ki gawayee do aur elaan karo keh khudaa aik hai aur muhammad khudaa ka sacha rasool hai aur hakoomat khudaa hi ka haq hai insaanu ka nahin.
lihaaza aao ham insaan ummat banen kyunkeh is bunyad per ummat banane main hi insaanu ki kaamyaabi hai. dekhaa ilfaaz kaise aik doosre se jure huwe hen aur mutaabqat rakhte hen? dekha deene islam ka paighaam kitna saaf aur shafaaf hai.
islam deen hai mazhab nahin hai
http://archive.org/details/Al-Quran_123