Bismillah ir Rahman ir Raheem
Buhat afsoos k saath kehna per raha hai k tum ne wohee munkireen e hadeeth wala andaaza apnaaya howa hai jo Mr. Ghulam Ahmed Pervaiz, Abdullah Chakralwi, Aslam Jairajpori aur Jawed Ahmed Ghamdi ki teref se tamam munkireen hadeeth ko wirsey mien mila hai... aur tumhari reply ain soboot hai k tum Hadeeth aur fenn-e-Hadeeth se bilkul na wakif ho... aur tumhari maaloomaat is tamam ilm se mutalik intihaaye satahee se hien...
Mera yeh dawaa hai k ager koi shuks ikhlaas k saath Hadeeth ki tadween mien Aaima e Hadeeth ki mehnet aur inkey ikhlaas aur is ilm ko mehfooz rakhney k liye jo aik poori science takhleek ki hai, os ka motaalaa kerley tu yeh maaney bagher nahi rehsakta k Hadeeth ki Tadween aik moaajzaa hai jo Allah taalaa ne in aaima k zariye se zahir kerwaya aur is deen ko qayamat k liye mehfooz ker liya.
Mere bhai aik choti si baat arz keronga. Yeh deen qayamat tuk k liye hai aur qayamat tuk liye honey ka matlab hai k yeh qayamat tuk mehfooz rahey. Aur yeh baat huq hai k Quran jub mehfooz raheyga tu is ka bayan bhi mehfooz rahega jaisa k aap ne khod is ko tasleem kiya.
HUM NE NAZIL KIYA HAI AUR ES KI HIFAZAT AUR ES KA BIYAAN KARNA AUR ES KA JAMMA KARNA BHI HUMAARE ZIMME HAI.
Ahlesunnah wal jamaat k nazdeek jahan allah ne Quran nazil kiya woheen is ka bayan bhi nazil kiya. aur is ka bayan Hadeeth hai. Hadeeth hee hamien Quran k on goshoo ki tafseel detee hai jo bagher hadeeth k na hee hamien samajh aa saktey hien naa hee hum os pe koi aik hatmi raaye kaaim kersaktey hien... matlab yeh howa k ager sirf quran ko qayamat tuk mehfooz ker diya jaaye tu koi faida nahi jub tuk is bayan mehfooz na ho, kiyo k isi sorat mien hum aik mukammal deen pe amal kersakiengey. Wagerna haal wohee hoga jo aap ne apnee reply mien apna bayan kiya hai k aaj tuk aap Namaz/Salat k baarey mien kisi hatmi nateejey pe nahi pohanch sakey... subhanAllah....
Meree jin jin Munkireen e Hadeeth se mulakaat howi hai on sub ki raaye namaaz k baarey mien mukhtalif hai koi namaz 3 wakt ki maanta hai koi 4 wakt ki koi 5 wakt ki aur koi namaaz k maaney kuch aur hee leta hai....
Ager aap k mutabik namaaz k maaney kuch aur hien jo hum saajh nahi paa rahey tu phir tu Masjid e Nabwi, Masjid ul Haram aur dosri taarikhee masaajid, aur yeh azaan ka nizaam aur Jamaa ka khutba aur Jumaa ki namaaz, Namaaz e Eidein aur paanch wakt ki namaazien yeh sub deen mien izaafa hien???????????? yeh izaafa kub howa aur kis terha howa aur saaree ki saaree ummat ne is izaafey ko kabool kerliya??? aur pichley 1400 saaloon mien is izaafey pe aitraaz kisi ne nahi kiya??????? wese ager aap isi baat ka jawab de dien tu buhat hai warna baatien tu itni hai k aap ka poora munkireen e hadeeth ka groh qayamat tuk in baaton ka jawab nahi de sakta...
Hakeekat yeh hai k aap ka ilm aur maaloomat intihaaye sat'hee see hien aur opper se mubalgha araayee bhi (jo ain jhoot k motradif hai) aur is ka soboot aap khod de chukey hien.
Chalo 300 sal na sahi doosri saddi tau hai na? 100 saal bad ki sunni huwi baat ko aap qaule Rasool saw keh sakte heN?? Aur kaha bhi nahiN jata.qaule mansoobe alaih Rasool kaha jata hai. Yani woh baat jo log os waqt Rasool saw say mansoob karte thay.Mota Imam Malik Rematullah alaih Saha Sitta meN shamil nahiN hai.woh sub teesri saddi meN likhi gaee heN.
peheley khod kaha k 300 saal ab keh rahey hien chalo 100 saal baad... subhanallah.....300 saal mien se 200 saal kitni aasaani se kum kerdiye... yehee soboot hai tumharey jhootey honey aur mubalgha araayee ka aur kum ilmi ka isi liye mien ne kitaabon k link diye hien jo perhlo ager Allah taufeeq de.
Baat Hujjiyet e Hadeeth ki horahee hai Sihah sitta ki sirf nahi ho rahee aur aap ki itela k liye arz hai k saheeh hadeeth jahan kahin bhi ho hamara os per imaan hai chahey wo mota mien ho, Masnad e ahmed mien ho yaa siha e sitta mien ya kisi aur hadeeth ki kitaab mien.
Jub aap zaeef hadeeth k wojoood ko maantey hien tu mere dost zaeef hadeeth he is baat ka soboot hai k zakhira e hadeeth mehfooz hai. Aur woh osool aur qawaid mojood hien jis ki bunyaad pe zaeef ko saheeh se alag kiya jaasakta hai. yeh isi terha hai k Asli Ghee dunya mien mojood hai aur nakli bhi aur ghee ki pehchaan kerney waaley mahireen asaani se asli aur nakli ka pata chala saktey hien. Nakli ghee ki mojoodgi ki binaa pe asli ka inkaar koi jahil hee kersakta hai. isi terha zaeef ahadeeth ki mojoodgi ki waja se Saheeh ka inkaar bhi Muhadditheen, inkey ilm, osool aur qawaaid se laa ilm shuks hee kersakta hai.
aap ne likha hai k Imam Bukhari ko 6 laakh ahadeeth mili thin. Derasal aap ne in 6 laakh ahadeeth k milney se jo nateeja akhaz kiya hai wohee is baat ka soboot hai k aapp porey tor pe Pervaiziyon k chungal mien hien... Allah k bandey 6 laakh milney ka matlab muhadditheen ki istalah mien "matan" yaani text k hisaab se 6 laakh nahi balkey "sanad" yaani chain k hisaab se hein. yaani ager on ahadeeth ko text k hisaab se dekha jaai tu woh chund hazaaron mien hongi meger chon k aik hee text ki mukhtalif sanadien thin is liye woh taadaad mien laakho banti hien. Is liye jub onhon ne Saheeh ki tadween ki tu os wakt kuch osool banaye aur on osoolon pe jo hadeeth pori uterti gayee inhien apni saheeh k liye muntakhib kerliya aur jo on osoolon pe poori na otrin onhien chor diya aur woh osool itney pukhta aur sakht they k Jamat e Ahlusunnah Saheeh bukhari ki sehet pe mujtamey hogayee... siwaye Munkireen e hadeeth k aik chotey groh k jo pichley 60-70 saalon ki paidaawaar hai.
6 laakh ahadeeth wali baat aap ne likh k apni kum ilmi ka pol khol diya... beher haal... mien is behes ko mazeed tol dena nahi chahta aap se guzarish hai k mien jo link paste kiye they inhien perhna chahien tu perhlien in links mien aap k tamam sawalon aur ghalat fehmiyo ka jawab hai.
aap ne lihkha hai
Quran ki hifazat ki zumedar tau Allah Tala ne li hai magar hadeeth ki?Main ne abhi tak kahiN nahiN paRha k Allah ne Bukhari aur Muslim ki hifazat ki zume dari li ho
Mere khayal mien aap ne buhat kuch nahi perha... aur aap ko perhney ki sakht zarorat hai. Ahadeeth likhney ka hukum bhi Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne diya ahadeeth ko hifz kerney aur inhien aagey ponhchaaney ka hukum bhi Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne diya aur Quran k saath hadeeth ki hifaazat ki zimedari bhi Allah ne lee hai jo Quran aur Hadeeth dono se sabit hai. Aur Quran ki terha Hadeeth bhi Hujjet hai aur Quran k ilawa bhi Allah k Nabi (salall laahu alaihi wasallam) pe wohee/revelation oterti thee, jo Quran aur Hadeeth dono se sabit hai. Mazeed maloomaat k liye Kitaabo k links perhiye inshaAllah tashaffee hojaigee..
Der hakeekat Quran ki hifazat mukhtalif tareekey se Allah ne kee aur Hadeeth ki mukhtalif tareekey se. Is mukhtalif tareekon mien bhi buhat saaree hijmatien pinhaan hien jo ghor o fiker kerney walo se pooshida nahi. tafseel yahan likhney ki gunjaish nahi...
Baaki jinhien "mien na maanoo" ki beemaari hoti hai on sey tu quran bhi mehfooz nahi aur woh tu quran mien bhi shuk kertey hien aur osey kitabullah maanney k liye tayyar nahin (jis terha aap hadeeth ko minjaanib Allah maaney k liye tayyar nahi). Billions ki taadaad mien ghair muslim is ki daleel hien.
Allah aap ko Quran aur Hadeeth pe chalney wala banaye... Aameen.