Brother...if muslims do wrong things, that doesn't mean that Islam is wrong. If nowadays so called religious parties do politics on the name of religion than similarly u can not blame Iqbal on that."Juda ho deen siyasat se to reh jati hai changezi" Yeh sher Allama Iqbal ki shayri pe aik dhaba hai.
Pata nai Allama ne kis sense mien kaha tha. Magar haqeeqat mien iss sher ne Pakistani musalmano per bohat bura aur negative asar dala. Aur aisi jama'atein wajood mein aa gayein jo Mazhab k naam per Power Play ka hissa banien aur Pakistani Tareekh mien hamesha negative role play kia. Bari examples mien Jama'at-e-Islami aur JUI hain. Taliban b issi fikar ki paidawaar hain.
in fact Religion ka siyasat se koi ta'aluq nahi. Koi do achay musalmaan aik siyasi faislay per aik doosray se Ekhtalaaf ker saktay hain. Iss se Mazhab ki khaisiyat mutasir nahi hoti.
Bohat si exampls quote ki ja saktein hain. Magar classic example Hazrat Ali aur Usman ki hai. Jab Hazrat Ali ne kaha k wo apnay pehlay Khulfa ko follow nahi kerein gay aur wohi karein gay jissay wo theek samjtay hain. Jabkay Hazrat Usman ne kaha k wo pehlay dono khulfa ko follow kerein gay aur iss pe wo Khalifa bana diye gaye. This was a political decision and Islam had nothing to do with it.
Pata nahi Allama ne kis kamzor lamhay mien yeh sher kaha aur phir shaitaan ne issay bari achi tarha propagate kia.
Mazhab jaisi azeem aur afaaqi quwwat ko siyasat jaisay mua'amlaat mien power lenay k liye use kerna intahayee kameengi hai.
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|