musharraf jhooth bolne ka 'aadi mujram' hay aur iss main woh aalmi record holder hay-iss ke gale main jhoot bolne ka "bush-award" hay.
yeh america ka no.1 pithoo hay.
Iss waqat pakistan ko aik khaalis pakistani aur muslman leader ki zaroorat hay.
Qoam america ke assar o rasookh se jaan churra kar iss undeclared gulaami se jaan churrana chahti hay
musharraf ne dalar-roon ki khatar hamain aik karae ki qatal qoam banaya. Aik qoam ki hessyyat se - qoamoon ki jamiyyat main hamara chehra mas'sakh kar dya.
Sirf yehi hi nahein hum ne apne unnh shehryoon ke khilaaf bhi riysti force istemaal ki jo ke hamare ape mulk ke shehri hein aur jinh ki jaan aur maal ki hifizat hamari riyasti zummadaari hay.
Warna aaj ham amman se hote.
Musharraf ne yeh sab kuch america ki dictation per kya. Yeh shah se zyada shah ka wafa dar tha.
Uss ne dr. Qadeer khan aur nawaz shareef ko zero karne ke liye aur apne aap ko hero bana-ne ke liye, dunya aur amreekyoon ke samne jhoot bole.
Iss bewaqoof insaan ko sha-oor hi nahein tha keh woh to pakistan ka aik zummedar aadmi hay. Sirf kursi ke lye gher mulkyoon ki zabaan bolta raha aur hamain iss jahannam main dhakail kar london ja ker beth gya.
Woh abhi tak chuppa raha hay - keh kargil ka marka kyun and kiss lye kya uss ne hamari beti dr. Aafia siddique ke saath yeh zulam kyon kya -uss ne 'nro' ka ordinance jaari karke zadari aur benazeer ke jraa-em ko kyon moaaf kar dya.
Tum jahan ki matti ho wahan hi chele gae ho. Tum pakistan ki matti se bane hi nahein the. Yeh hamari bad-naseebi thi tumhein pala plosa temhein taleem di. Bare bare ohdoon tak puhnchaya. Tumhein saloot marte rahe. Kya patta tha tum aik begherat insaan ho. Uss matti se be-wafaee karo ge jiss ne tumhein aaghosh, azmat, shohrat, iqtedaar dya.
Mr zardari ki hakoomat bhi ussi tarah kar rahi hai jiss tarah musharf ne kya.saaf zahar hay - passe lagane wale bewaqoof to nahein hote. Inn ghoroon pe america ke passe lage huwe hain.
Muslmaan buzdil nahein hota na hi woh laalchi aur bewaqoof hota hay.
Woh allah ki baseerat se dekhta hay.
Woh be-baaki ka namoona hota hay.woh kissi supper power se nahein darta. Yehi 'khudi' hay. Yaqeen mohkam - mohabbat fateh aalam - yeh hain mardoon ki shamsheerain.
Musharraf ki khudi yeh thi keh qanoon ko haath main lo - pakistan ke interest bala-e-taaq rakho - amrika ke interest poore karo apne shehri aur fauji marwoo.
Kissi ko mulk baddar karna - aaj se 5 so saal pehle, aik shahaana aur colonial saza to thi. Aaj ki dunya main yeh saza dunya ke kissi qanoon main nahein. Phir yeh saza kissi court ko deni chah ye thi. Musharraf ne konsi court se pooch kar yeh saza apne syasi makhalaf nawaz shareef ko di.
Phir uss ne jitne bhi galat aur gher qanooni kaam kai- mulk ke anndar uss ka koi tehrii record nahein.
Woh khud hi supreem court tha, woh kud hi pakistan ki parliament tha, woh khud hi kabina tha aur woh mulk ke andar sub kuch tha. Uss ne yeh suabh kuch iss tarah se kya keh mulk ke andar uss ka koi record nahein.
Jujoon ko hata do, unn ko nazar band kar do - pakistan ke kissi adare ke pass iss ka koi record nahein . Har galat kaam sirf sirf zabani hota tha.
Yeh aik bohat bara qanoon aur aaeen shikkan mujjram hay. Iss ko jo kuch iss ne kya uss per adalat ke katehray main pesh kya jana mulk ki aaenda salamti ke liai ashad zaroori hay.
Iss bigray howe insaan ko phir iqtidaar mein lana pakistan per aik khud kush hamla karne ke brabar ho ga.
Musharraf ki yeh daleel galat hay keh uss ne kargal main jang kashmeer ka masala hall karne ke lai ki. Ryasat ke aik molazim hote howe woh kon tha yeh faisala karne wala.
Uss waqat ki hakoomat ki marzi se hukam liye bagher hamare mulk ki fauj ka parosi mulk per hamla karna pakistan ke khilaf aik bohat bari sazish thi. Yeh bewaqoofi kitni khatarnaak thi, iss ka koi andaza nahein laga sakta.
Musharraf gaddar bhi hai aur aik bohat bara bewaqoof insaan bhi.
Jabh qoamein nuclear power ban jaati hain to unhein jang mazakrat ki maiz per beth kar karni hoti hay jangon ke zarie nahein.
Uss ne khud maana keh ch. Shujjat aur doosre uss ke saamne kuch kehne ki jur-at nahein rakhtethe.
Uss ko kya patta 'khudi' kya cheez hay - andha kya jaane adrak ka bhao.