is waqt ham ko aisi hamdun aur naatun ki zaroorat hai jo saheeh maanu main quran ki roshni main insaaniyat ki rahnumyaee kerti hun aur khudaa aur us ki kitaabun aur rasoolun ki tarjumaani kerti hun. jo hamen ye sochne per majboor karen keh aakhir ham khudaa ko maante kyun hen aur kyun is baat ko maante hen keh khudaa ki zaat qaable taareef hai. aakhir us main khoobiyan kia hen jo hamaari nazar main khudaa ko qaable taareef thehraati hen. yahee nahin aakhir khudaa ki kitaabun aur paighambrun main woh kia kia khaas baaten hen jin ki wajah se ham insaanu ko un ko woh ehmiyat ya hesiyat deni chahiye jis ke woh mustahaq hen.
hamaare paas hamdun aur naatun ke naam per jo kalaam bhi mojood hai us main tarah tarah ki kharaabiyan hen jin ke zariye ye ummat marne ke baad murda rakhi jaa rahee hai. quraan aik inqilaabi kitaab hai is ke mutaabiq hamaari hamdo naatun main kuchh bhi aisa nazar nahin aata jo is ki tarjumaani kare. quraan ke mutaabiq her paighambar isi liye bhaija gayaa khudaa ki wahee ke saath taa keh woh apne waqt main apne diye ge daaire main insaanu ko issi duniya main un ki apni madad aap ke teht jannat banaa ker dikhaa de. is dor main hamaare paighambar ne bhi yahee kiya tha magar ham ko is baat ki khabar hi nahin hai. her koi madina jaana chahta hai aakhir kyun? issi liye keh paighambar ne madine ko jannat banaaya tha jis ki wajah se wahaan ke rehne waale insaanu ki zindagiyan jannat ban gayeen thin.
paighambar khudaa ki zaat ko insaanu se zabardasti manwaane ke liye nahin aaye the na bhaije ge the keh woh insaanu ko draa dhamka ker ya jannat ka laalach de ker aane waali zindagi main, balkeh is liye aaye the ya bhaije ge the taa keh woh issi duniya main insaanu ko jannati zindagi ka namuna dikhaa den unhi ki madad se aur unhune dikhaaye aise namune. ye unhune issi liye kiya tha taa keh aane waale log bhi aisi hi riyaasaten qaaim karen taa keh khudaa ke naam ka her taraf danka bajta rahe. ham musalmaanu ne is maqsad hi ko poori tarah se bhulaa diya hai aur behuda baatun ko hamdo naat kehna shuroo ker diya jin baatun ne ummat ko jahaalat ki gehri neend sulaa diya.
yahee baaten hamaari hamdo naat main nahin miltin. is ki badi wajah yahee hai keh ham log quraan ke asal paighaam hi se naa aashnaa ho ge ya ker diye ge mahallaati saazishun ke zariye. bhalaa jis baat ko koi jaanta hi nahin us ke baare main woh kia likhe ga ya padhe ga?
lihaaza is maamle main nai sire se ghoro fiker ki zaroorat hai ummat ko taa keh dore awwal ki yaaden phir se taaza ki jaa saken ya ho saken.
bahot si aisi naaten hen jin ke ilfaaz ke mamooli raddo badal se asal baat saamne layee jaa sakti hai. albatta is ke liye deene islam ki saheeh samajh zaroori hai. isi se maloom ho ga in main kia kia kharaabiyan hen aur in ko kaise theek kiya jaa sakta hai. isse ummat main aik nayee rooh daali jaa sakti hai.
yaad rakhen khudaa ki asal tareef ye hai keh us ne insaanu ko behtareen raasta dikhaaya is duniya main saheeh tarah se insaan ban ker jeene ka aik ummat ban ker khudaa ki baadshahi ya mumlikat main. insaanu ki bhi asal tareef yahee hai keh unhune khudaa ki baat ko samjhaa aur us per amal ker ke aik aisi duniya banaa daali jis ne na sirf un ki apni zindagiyan jannat banaa daaleen issi duniya main main balkeh un ke issi amal se khudaa ka khudaa hona bhi poori tarah insaaniyat per ayaan ya saabit ho gayaa.
aaj bhi samajhdaar log jab apne liye aik achhi zindagi ka tasawur bataate hen kisi mulk main is duniya main to un ki baatun se quraani zindagi ka tasawur hi saamne aata hai magar un ko maloom hi nahin hai keh ye baat jo woh ker rahe hen quraan hi ki baat hai. is liye keh unhu ne khud ko is qaabil hi nahin kiya keh woh quraan ke paighaam ko theek tarah se samjh saken. ab sochne ki baat hai ham yahaan kaise pohnche ya pohnchaaye ge? is tarah se keh ham insaanu main se hi ahmaq logoon ne apni apni hatdharmi ki wajah se quraan ke baare main tasawuraat hi sakht ghalat ker diye apni jahaalat ki wajah se aur ham unhi tasawuraat kop le ker chal pade aur yun aaj sab duniya main zaleeo khawaar ho rahe.
ham logoon ko is baat ka ehsaas hi nahin hai keh ham doosre logoon se apne khudaa aur rasool ya kitaab ki zabardast izzat nahin karwaa sakte. agar ham log jo khud ko musalmaan kehlwaate hen fil haqeeqat dilo jaan se musalmaan hen aur hamen apne khudaa, rasool aur kitaab ki izzat kawaani hai to ham ko un baatun ka ilm seekhna ho ga jo hamaare khudaa, rasool aur kitaab ki logoon se ilm ki bunyaad per izzat karwaa saken. un baatun se jahil reh ker ham sirf aur sirf dhange fasaad hi ker sakte hen jis ki wajah se hamaare khudaa, rasool aur kitaab ki log aur ziyaada khul ker baizzati kerte hen.