wesey tu sunnat e rasool pbuh per amal ki bunyad khalis itteba rasool ka jazba hona chahiye aur yehi eeman hey aur hubb e rasool ka haqeeqee mayaar hey
lekin mera yeh eeman hey key allah key nabi pbuh ki woh sunnatien jin per rasool arbi pbuh ney mustaqil amal kiya aur saath hee hukum bhi diya (jo zaman w makan ki qaid se azaad hien), woh sunnatien lazim w malzoom noo e insaani key liye faidamand hee hongi, chahey os per tehqeeq howi ho yaa na howi ho, .chahey koi eeman k saath amal kerey yaa kufr key saath. Maslan beth k paani peena, khaaney sey pehley haath dhona, mubashrat k baad ghusal waghera waghera.
In fawaid ka taaluq baaz dafa sehet sey hey, baaz dafa infradi w ijtamai economy sey, baaz dafa ikhlaqiyat sey aur baaz dafa khandan sey aur baaz dafa moaashery sey.
Chey-jaikey aik musalman k liye aisi tehqeeqon ki muqablatan koi ehmiyet nahin aur naa hee yeh tehqeeqat hamara mayaar hona chahiyien.