Javed chaudry tajzya kam gup zyada marta he.
Iss jaise aur bhi kaafi hein, jinko bilkul aisa hi kehte suna he ke "Hum haq ke sath hein, Imran Khan aur Tahir ulqadri theek kehte hein, mein dil se unke sath houn, lekin agar sirf khobsurat alfaz istemal karte aur falaan bhi karte aur falaan bhi kehte aur falaan na karte to mein unke sath tha.
Lekin inho ne waise wasie kaam nahi kiye to is lie mein inke sath nahi houn, balke batil ke nizaam ko represent karne walo ke sath houn aur iqtidar inhi ke hath mein rehna chahye. Ab ki baar ache kaam karein ge. Meri baat ho gai he, lafafa bhi mila he, alhamdulillah".
Aise log un yahoodio ki manind hein jinkelie Khuda ne aasman se "man-salwa" bhi utar dia, lekin unko pyaz aur zayton yaad aate rahe, unko kaha aik gae zibah karo to wo fazul mubahiso mein ghuss gae aur pochne lage ke gae ka rang kaisa ho aur aankh kitni moti ho. Yehi wo log the jinko Moosa kuch der kelie chorh ke kahee gae to ye wapis apne purane khuda ko pojne lag parhe.
Qasoor inka nahi. Iss dunya mein makhsoos tarha ke log hote hein.
Aik jo pioneers, visionaries, leaders qism ke hote hein. Ye category dunya mein intehai kamm he. (agar kisi qoum ka leader is category se ho to aise leader ki qyadat mein wo qoum bohot irtiqaa paati he.)
Dosra type, followers. Ye majority part he. Ye trend ko follow karne wale note hein. Abb is last group ke kuch sub divisions hein.
Awal: Jab haq aata he to ye uske sath awal daste ki tarha kharhe hote hein.
Dom: Charhte suraj ke pujari. Jo cheez zyada power mein ho ye uske sath kharhe hote hein.
Som: Akhri waqt tak ye batil ke sath kharhe rehte hein, lekin uske marne ke ain waqt ye dosri taraf ho jate hein. Ye fitratan kamzor log hote hein aur kisi na kisi complex ka shikar hote hein. Khud ko shah se zyada shah ka wafadar bhi samajhte hein. Inki khud ke baare kuch ghaltfehmian hoti hein jo inke nafsyati complexes ko aashkar karti hein.
Kionke ye buzdil, kuch lalchi bhi hote hein aur inferiority complex bhi hota he to apni buzdili ko chupane ya maali faide ke lalach ko apne zameer se chupane kelie ye aisi baaton ka sahara lete hein. Inko ye bhi complex hota he ke mein iss achi baat karne wale ki baat kaise maan loun. Mein ne maan li to mein chota parh jaon ga.
Phir inki ye sab kamzoriya chupane ki typical rethoric ye hoti he: aise na hota aur aise hota aur aise kiya jata to mein bhi sath tha, lekin aisa he nahi, is lie mein samajhta houn ke baatil ko chance dia jae, aur agar wo aisa aur waisa kar dein to sab acha he.
Javed powdery iss akhri category se taluq rakhta he.