Ch Azam
Councller (250+ posts)
Kuch din pehlay mujay bachoon k sath Race Course Park janay ka itifaq howa, jab ham wapis anay lagay tu main ne bacoon ko race course k Mcdonald walay gate (Jail road Side) k bahir khara keya or khud gari lenay parking ki taraf chala geya, jab gari le kar aaya tu trafic sargent ne mujay bachoon ko pic karne se mana kar diya or batya k (Shehensha Aazam) Khadim e aala tashreef la rahay hain, meray or bachoo k darmian 7 se 8 feet ka fasla tha ye wo jaga ha jahan ap passengers ko drop or pic kar saktay hain lakin us ne mujay aik second bhi gari roknay nahi di.......main gari Mcdonald ki parking main laga kar road cross karnay laga to sargent sb ne farmaya k ap road per qadam nahi rakh saktay.....main ne kaha k chalain ap khud hi in bachoon ko road cros karwa dain lakin wo tu koi bat sunnay k leye teyar hi nahi tha (in bachoon main jo sab se bara bacha tha us ki umer 5 sal ha or is k elewa meri aik 3 1/2 sal ki beti bhi thi........jab main ne bachon ko rotay deakha to main zabardasti road cros karnay laga ap yaqeen karain mujay do trafic sargents ne pakar leya or kaha k ham ap per dehshat gardi ka parcha banwa dain ge.............mazay ki bat ye ha Badsha Salamat ne main jail road se guzarna tha or main us road ko cross kar raha tho jo G.O.R ki taraf jati ha (jo log lahore main rehtay hain wo samajh geye hoon ge)
akhir 25 minut bad Aalam Panah guzray or pathar bani hoi qoam main jesay kisi ne achanak zindagi ki roh phoonk di ho.........main ne bachoon ko pic keya or ghar wapis aa geya.....usi sham FM per news suntay hoye pata chala Khadim e aala k guzarnay per kabhi bhi aik minut se ziada trafic nahi rooki gai..............(Inalillah e wainelahi Rajeoon) is se ziada safeed jhoot kabhi nahi deakha..........)
Lazim ha k ham bhi deakhain ge
Wo din k jiska wada ha ham deakhain ge
Jab zulm o sitam k kohay garan
Roi ki tarha urh jain gye
Ham mehkomo k paon talay
Ye Dherti dhar dhar dharkay gi
Jab Ahle hakum k sar uper
Jab Bijli karh karh barsay gi ham deakhain ge