Din ba din humare ird gird soorat e haal paicheeda hoti ja rahi hai. Aik hungama sa barpa hai charon taraf. Aisa mehsoos hota hai jaise deewarain bhi chingharne lag gai hain aur har bejaan cheez cheekh o pukar main mehw hai. Ik shor sa hai jo zehn ko sochne nahi deta. Mujhe aaj bhi yad hai ke kuch arsa pehle main ne tv aik bacha dekha tha jo apne hath main lohay ke tukre uthae camera ke samne khara tha woh tukre un golian aur shell ke the jo israeli dehshat gardon ne un par chalye the . Camera man aur reporter shayad sirf is fikar main the ke un ki news achi ban jaye. Who us 10 saal ke bache ki halat se bhi paise aur tarakki hasil karne ki koshish kar rahe the. Main sochta hoon ke agar woh un main se kisi ka beta hota to kia woh tab bhi us ki video banate is hal main? Kia woh duniya ko us masoom bache ki bebasi ka tamasha dikhane ki bajaye usay naye kapre na le ke dete, us se yeh na poochte ke beta kuch khaya hai? Kia khabar us ke maa baap ko bhi kisi israeli goli ne shaheed kia ho? Mujhe aj bhi us bache ki aankhain yaad hain, un main maujood woh shikayat yaad hai, woh dam torti umeed yad hai jo shayad us ne hum musalmano se rakhi thi. Magar usay kaun samjhata ke beta humare logon ka hal to yeh hai ke qatilon aur lutairon ko apna sarbarah samajhte hain, aur har badkaar sakhs ko apna maseeha….Use kaun samjhata ka humare log apni ghaltion ko doosron ke sar pe dalne main masroof hain.
I hope someday you guys won't fight on politics and try to make our homes better by ourselves. Democracy and dictatorship will give us what it has given us for the last 60 years. And hopefully someday you will stop blaming Molvi hazraat for your downfall because they are just like you, they are one of you. You and I are no better than them. Sirf itna yad rakho ko agar humare gharon main koi death ho jaye to humain namaz e janaza bhi parhani nahi aati, ghusal tak dena nahi aata. aur bat karne chale hain molvion pe. Agar yeh sab cheezain hum logon ne khud seekhi hoti humare bachon ko hum ne sikhai hoti to molvi ka concept hi humare muashray main na hota.
Khair yeh sab shayad hum sab ko maloom hai par shayad hum is taraf ghor karna hi nahi chahte.
Allah hafiz.