Sir apko aur baqi bahio ko pehlay bhi bataya hay k amreeki ya bartanwi pithoo general akaila nhi hota, yeah sari FOUJ khari hi issi liye ki gai thi 1947 mayn k yeah imperial masters k interests ko iss region mayn defend karsakayn aur yehi wo kartay aaye hayn 75 saal say. Jurnail chahay Zia ho ya Ayub, Kakar ho ya Kayani, Musharraf ho ya Pasha, Zaheer ul islam ho ya Rahell ya phir Bajwa, sub k sub amreeki ya bartanwi pithoo kesay hogaye? Jawab yeh hy k iss FOUJ ki uthan hi aisay ki gai hay k iska har officer Goray ko aala aur apnay local civilian ko bloody samjta hay. British nay apnay waqt mayn islaye aisi FOUJ tayyar ki thi kiyonkay wo masters thay aur slaves ko qabu karnay k lyie unhayn aik local FOUJ chayey thi jo unko Aaqa aur awam ko haqeer samajti takaay British hakoomat yahan asaani say chalai ja sakti, yeh tou zehni tor pay itnay maflooj aur ghulam hochukaay thay k dono world wars mayn baqaida India say British FOUJ k naam pay gaye aur ajtak inki naam ki Topayn fakhar say sajai hoi hayn, oye Khuda k bando na tumhara kuch lena na dena, lakin bus Gora saab nay order diya tha tou saray so called Havaldaar sobedaar induciton k liye gaon gaon jana start krdetay thay, sala 1 gora pooray district pay betha hota tha lakin zehni ghulamon ki inteha thi k FOUJ uskay hukam subah sham apnay logo pay zulm karti thi, maarti thi, even jaan lay letay thay.
To janab yeh abhi bhi wohi FOUJ hay, internet say apko 2,4 pics mil jayengi jahan Kayani aur Pasha, kisi third class amreeki senator k saamnay hath bandh k kharay hongay, aisi hi pics raheel shareef ki bhi thi. aur jo Pashay nay amreeka k liye raymond davis mayn kiya tha, uski tou story batatay bhi banda sharam say mar jaye, itna tou haraami amreeki nhi expect kerty hongay jitna yeah gir jataay hayn.