Altaf Lutfi
Chief Minister (5k+ posts)
Rasul-Allah (SAW) ki hayat-e-tayyeba ko dekhein tu zindagi mein ek lamha bhi aisa naheen milta keh jab farasat, hikmat aur baseerat par jazbaat ne ghalba paa lia hu. tab bhi naheen jab Mecca sarnigun tha aur kuffar rehm ki bheek k taalib thay. konsa zulm tha ju Rasul (SAW) aur sahaba-alaihim ajmaeen par naheen dhaya gya, hijrat se qabal, magar badlay ki aag kaheen nazar na aai, hatta keh halki si barhami tak nai, sab kuchh bhool kar Mecca ki tehzeeb-e-nau aur mustaqbil k challenges ki fikar mein lag gai. poori hayat-e-nabawi mein ghussa kaheen nai dikhta. Aaj Allah k fazal se maksyed jaisay mujahid hamaray paas hain tu fikr ki kya baat hai.in ka andaaz-e-bayan, shirini-e-guftaar, alfaz ki hiddat, dabang lehja, subhan-Allah ! aur mulahiza hu keh yeh andaaz ek khatoon k liay ikhtiyar farmaya hai, jab Kyani sahib ki baari aayey gi tu Allah janay kya kuchh keh guzrein gey. Allah aap k zor-qalam mein taraqqi dey magar yaad rakhiyay keh yeh style Abu-Jehal ka tu tha, Mohammad-e-Arabi SAW ka naheen.