جس دن ملائیت ختم ہو جائے گی
لوڈ شیڈنگ ختم ہو جائے گی
مہنگائی ختم ہو جائے گی
بے روزگاری ختم ہو جائے گی
ٹیکس چوری ختم ہو جائے گی
طبقاتی تقسیم ختم ہو جائے گی
اگر ان مسائل کا حل ملائیت کا خاتمہ ہے تو ووٹ اس کو دو جس کا منشور ملائیت کا خاتمہ ہو
aap ki baat theek hai magar woh log hen kon jo mullaiyat aur ladiniyat ko pakistan se naisto nabood karen ge? kia un ko aage aane diya gayaa hai yaa woh aa sakte hen jab tak ehtsaali nizaam apni jaga khada hai aur is ko secular aur relgious partiyun ki mukammal himayat haasil hai?
is ke do hi tareeqe nazar ate hen 1)yeh keh koi achhe log hakumat main aa kar nizaam ko andrune mulk drust karen aur doosra agar yeh na ho sake to phir ehtjaaji inqalaab. is liye keh khoon to behrhaal beh raha hai aur roz roz mar mar kar jeene se achha hai keh log sadkun par nikal khade hun warna baithe bithaaye kuchh bhi nahin ho ga. log aaj se bhi ziyaada barbaad aur zaleel hun ge agar jo kuchh ho raha hai is ko kisi tarah roka na gayaa.