Every media person (including those disguised as "journalist") who has a dark past, PTI have and will always be a "terrorist" party.
Ek taraf PTI ne state brutality ka samna kiya, misaal ke taur per:
- Leader jail mein, uska naam, chehra, awaaz media se ghaib
- 300+ bogus cases
- Uss ke ghar pe andha'dhund shelling
- Workers ko uthaya gaya, kuch shaheed hue
- 9 May ka false flag operation kiya gaya jiska burden ab bhi PTI workers utha rahay hain
- Aur upar se military courts mein cases, jo recently Supreme Court ne legit kar diye
Doosri taraf log keh rahay hain ke PTI kyun military ke saath khari nahi hoti Indian aggression ke time pe? Toh sawaal yeh hai, kya aap us haath ko salute karte hain jo kal tak aap ka gala daba raha tha?
Ab aage ki kahaani samajhte hain
1 "Pakistan" aur "Establishment" alag alag hain
PTI Pakistan ke saath hai, lekin un logon ke saath nahi jo constitution ke naam pe siyasat control karte hain, media ban karte hain aur election chori karte hain.
2. Defence aap ki tab hee mazboot ho gi jab civilian supremacy strong ho gi
PTI ka harr banda India ka provocative aggression condemn karta hai, lekin sath hi yeh bhi pochte hain ke civilian areas pe raat ke andheray mein attack ka jawab kis planning se diya gaya? Aur kis ne diya? Transparency chahiye, na ke camera ban aur press conferences mein scripts. Tamaam mohazib muasharon mein military se pooch gooj hoti hai aur ye iss liye hoti hai taake balance of power rahe.
3. Ye sawaal "Aap military ko support kertay ho?" poochna hee Hypocrisy hai
Jin logon ne constitution ka qatal kiya, woh aaj hum se wafadari ka certificate mang rahe hain? Jo log 9 May ke naam pe log uthate hain, woh khud 25 May, 12 May, 5 July bhool gaye hain? Kya Operation Bunyan Marsoos ke baad missing Baloch baazyaad ho gaye? Sawaal aaj bhi wahin ke wahin hee hain. Apne citizens ke saath jab insaaf nahi kero ge phir sawaal poochne ki bhi jasaarat na kiya kerain.
4. Iss waqt PTI ke elawa koi bhi party civilian democracy ke liye qurbani nahi de rahi
PTI workers ko ghaseet kar jailon mein dala gaya, sirf is liye ke woh Imran Khan ka jhanda uthaye kharay thay. Yeh wafadari nahi toh kya hai? Ye civilian supremacy ke liye awaaz uthana nahi hai to aur kya hai?
5. Jitni loyalty PTI se maangi jaati hai, utli loyalty military se kyun nahi maangi jaati?
Waqt hai ke hum sab mulk ko 'traitor vs loyalist' ke frame se baahir nikaalein. Pakistan sab ka hai. Sirf unka nahi jinke paas tanks hain ya anchors hain, ya jo unn ke neechay latke hue hain - iqtedar ki hawas mein.
6. Aakhri baat:
PTI na to jhuki hai, na badle ki aag dil mein le ker baithi hui hai, lekin apne principles pe mazbooti se khari hai. Yeh waqt hai constitution aur awaam ke haq mein kharay hone ka, bina kisi fear ya favour ke. Kisi ko achi lage ya buri, lekin