Aaap batana pasand karen ge Ilm ka darwaza thay ALI aali maqaam to kitni deen pe kutab unki muratab kee hui hen ??? koi tafseer likhi ho to zaroor share karen unki ? ALI RA ki hadees ki kitab bhee jo aap ne bayan ki hay uss ko zaroor share karen. Ham zaroor mustafeed hona chahen unki tamam tasneefat se . Ager aap share nahee ker saktay to sirf kitabon ya tasneefat ke naam bata den. NABI to apne ilm se Quran or Hadees de gaye, ALI RA ne aap keliye or hamaraay liaye kia chora hay ke ham mustafeed hon zaroor batyae ga
Mai bilkul is sawal ka jawab doonga lekin pehle ek baat bataye...Rasool Allah saww ne kitni kitaben likhi...kia Quran likha? Kia sahi bukhari ya sahi muslim likhi? Kia saha satta likhi?
Chalen yeh batayen ke Quran aur hadith mai farq kia hai? Dono Rasool Allah saww ke zuban mubarak se hi jari huay. Chalen yeh bataye ke Rasool Allah saww ne koi ek tehreer chori apne haath ki? Agar tehreer chorna itna hi zaroori hota ke musalman tehreer ke bagher koi cheez mantay hi nahi to esi kia hikmat thi jo Allah ne Rasool Allah saww se koi kitab nahi likhwa dali? Aur jab Rasool Allah saww ne tehreer likhna chahi bistar e marg pe, to yeh keh ker rukwa dia gaya ke "hamaray liya Allah aur uski kitab kaafi hai"..
Aap pehle is sawalon ka logic ke saath jawab dijiyega phir mai us hasti ki achievements likhne ki naqis koshish karoonga jinkay alqabat hain -- Ameer-ul-Mominee, Imam-ul-muttaqeen, Syed-ul-wasiyeen, Abu Turab, walid al-kaba, valiullah, Mazhar-ul-Ajayeb, Hujjatullah, Ainullah, wajehullah, Lisanullah, Yadullah, Kalmatullah, Asadullah al-ghalib, wasi-e-Rasool, Nafs-e-rasool, bab-e-madinatul Ilm, Orwat-ul-Wuthqa, Syed-ul-Ausiya, Imam-ul-Auliya, Akhi-e-Rasool Allah, Fatah-e-khayber, Fatah-e-Badr, Fatah-e-Uhd, Fatah-e-Khandaq, fatah-e-Hunain, abul-aimmah, Abul- eetam, Siddiq e Akbar, Farooq-e-ummat, QAHIR-UL-UDOO, Damad-e-Rasool, Khawind-e-Batool, Abul Qamar-bani-Hashim, Abul-Hasnain, Abul-ummah, HAIDAR-E-KARRAR GHAIR FARRAR, SAHIB-E-ZULFIQAR, LA FATAH ILLA ALI LA SAIF ILLA ZULFIQAR.....ALI IBNE ABI-TALIB AL-MURTAZA MUSHKIL KUSHA!
Time ki tangi ki wajah se aur alqabat nahi likh paya...
Aapke jawab ka aur Rasool Allah saww ki likhi huee kutb ke naam ka intezar rahayga...