Akhir hamaray hukmaranoon ka paisa jo kay hamara ha bahir kiun..................?

mutahir

Citizen
Assalam-o-alaikum dosto
mujhay aj tuk 1 baat nhein samajh ai kay pakistan ki awam kiss tarhan ki awam ha .....dosray ka HUQ cheenay mein koi moooqa hath say nhein janay dati lakin yahan kia hoa jub apnay huq ki baat ai too saray chup kiun........
jub sara paisa pakistan ki awam ka ha tooo in looogoon kay acount jo kay bahir hein un mein kiun arey unein pakistan mein lao apni gareebi mitanay kay liya per AFSOOOS kay koi is baray mein nhein bolta hamari awam bhook say mernay ko ha perhnein kay liya light books school aur zinda rehnein kay liya atta chini aur her cheez mehngi ha too hamaray in hukmarano ka kam kia ha bus awam ka paisa apni jaiboon mein bherna ....
aur 1 baat bata doon aj kal jo bhi tanzeemein inkalab kay naray laga rahay hein chahay wo koi bhi ho in kay kehnein kay inkalab nhein annay wala .....kiun kay jub hamara dakha bhala chera seat say uthata ha too dusara dakha bhala aaajata ha lagta ha inhoon nein apni apni bariyoun ka hissab rakha ha ya kabhi kabhi army is mein **** mirch ka kam kernein kay liya mulk per kabiz ho jati ha hum noojawano ka kia ager in hi bheriyioun ki nasslein hum per raaaj kereein gii to hum azzaad too na hoy na hum to wohi ghulami wali zindagi guzarr rahay hein........
ab hamein kuch na kuch kerna ho ga verna wo din door nhein jub hamara ziker sirf aur sirf kitaboon mein reh jay ga .........(ALLAHA ki panah)
ao dosto mil ker kam kerein ..........
SHUKRIYA.....