کیا پاکستان ابھی تک انگریز کے تخلیق کردہ بابو کلچر سے نجات حاصل نہ کر سکا؟

Eyeaan

Chief Minister (5k+ posts)
nahi nahi dandi maat maro. Jiss ka origin ghulami ho wo qom taraqi nahi ker sakti. Give me one speech of Gandhi, Nehru or Jinnah where they spoke against the British Occupation of India and vowed to boycott the elections held under their supervision. When the source is based on slavery, the end result would also be a slave mind. Sach ko qabool kerlo mian !
So you have become a self proclaimed authority for the "origin of "ghulaami." And there is one and only source of free minds and progress- war and war and then again war -- so Hegelian but in a vulgar manner. Freedom struggle through politics and with a mandate of people or plebiscite is inherently flawed. Why? Only because you say so! Corollary of this thesis is Indo-Pak can never be reformed and free.
Wouldn't be it better to do a functional and realistic analysis of the problems and do some valid comparisons than for easy, simple and empty slogans, National problems and contradictions keep arising, and need consistent reforms and wisdom
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
بھائی کیا آپ آسان الفاظ میں اس بابو کلچر سے نجات کا کوئی طریقہ بیان کر سکتے ہیں ؟ہ

azeezam pakistani sb, insaaniyat ke sab problems ka hal aik hi hai aur woh hai quraani maashare ka qayaam aur ye hal mushkil tareen hal hai asaan nahin.

ye mushkil tareen is liye hai kyunkeh is ke liye quraan ka theek tarah se saamjhna az bas laazmi hai.

ab insaaniyat ki duniya main kitne log kis qadar ilm rakhte hen woh ham sab ke saamne hai. yahee wajah hai log quraan ko theek tarah se samajhne se qaasir hen.

sadiyun se log yahee baat samajh na paaye keh is duniya main sirf aur sirf quraan hi khudaa ki kitaab hai kyunkeh is ke siwaa duniya main mojood koi aik bhi kitaab khudaa ki kitaab hone ka dawaa hi nahin kerti aur na hi quraan ke siwaa kisi kitaab ko khudaa apna kalaam kehta hai.

is ke baojood log bazid hen keh hindu, parsi, yahoodi, isayee aur sikh kitaaben khudaa hi ki kitaaben hen. ye hai insaanu ke ilm ki haqeeqat. ye to aisi baat ho gayee keh aik maan apne bache ko bataati hai us ka baap kon hai aur baap bhi us ko kehta hai main tera baap hun magar bacha bazid hai her koi us ka baap ho sakta hai magar woh apne asli baap ko ignore ker deta hai.

yani jo kitaaben khudaa ki hen hi nahin log un ko zabardasti khudaa ki kitaaben maan rahe hen aur manwaa rahe hen aik doosre ko magar jo kitaab kehti hai main khudaa ki kitaab hun us ko sab log aik taraf rakhe huwe hen. ab aise logoon ko ham kaise drust soch de sakte hen? lihaaza ham ko taleem jaari rakhni chahiye jo hamaara kaam hai baaqi khudaa jaane aur us ke ye sab unjaan bande. shayad kisi din un ko asal bat samajh main aa hi jaaye.

lihaaza insaanu ko un ki jahaalat se nikaalne ka koi bhi asaan tareeqa nahin hai balkeh her aik ko apne apne hisse ki mehnat khud hi kerni ho gi tab hi insaaniyat jahaalat se nikal paaye gi. yahee wajah hai insaanu ko mazhabi zehniyat dena un ke saath sakht tareen zulm hai kyunkeh mazhab jahaalat ki intahaa hai. isse logoon ke zehn maflooj ho ker reh jaate hen kohloo ke bail ki tarah.

behrhaal ham ko mayoos nahin hona chahiye aik din Allah ke bande zaroor hi us ke deen ko duniya per ghaalib ker den ge.

regards and all the best.