مفتی کفائت اللہ نے جیل سے آنے کے بعد جھولی کیوں پھیلائی؟۔انکشافات سے بھرا انٹرویو ۔۔

bhaibarood

Chief Minister (5k+ posts)
wow look at his high spirits!
is bandey ke bolney ka andaz is ko upar le kar jaiga !bohat solid andaz hai
Dartey hain bandooqon waley aik nehatey moulvie se
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
is waqt sab se aham sawaal ye hai keh aakhir ham khud ko musalmaan kehlwaane waalun ka asal paighaam kia hai duniya ko dene ke liye deene islam ke naam per?

mullaan ne sadiyun se logoon ko deene islam ke baare main uljhanoo main daala hai kyunkeh in logoon ne na khud quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish ki hai na kisi ko aisa kerne diya hai. nateeja saamne hai.

yahee nahin abhi bhi in logoon ka yahee haal hai duniya bhar se joote khaane ke bowjood.

in ka paighaam aik hi hai keh mazhabi aqeedun aur amaal per aur ziyaada zor do.

mazhab aur to aur pait main roti nahin daalta. kyun? is liye keh mazhab ka taaluq sirf aur sirf pooja paat se hai aur pooja paat se insaanu ka pait nahin bhar sakta.

secularism agarche aik taraf roti kapde aur makaan ki baat kerta hai magar doosri taraf logoon ke darmiyaan manfi bunyaad per aapas main muqaabla karwaata hai. ab jab log aik doosre ko neecha dikhaane ki koshish karen ge aur is liye aapas main chheena chhupti karen ge to sab ko roti kapda aur makaabn kahaan se mile ga? aur to aur sab log apni apni izzat hi kho baithen ge insaan hone ki joht se.

yahee wajah hai quraan islam ko deen qaraar deta hai mazhab nahin. aik aisa nizaamen zindagi jo sab ke roti kapde aur makaan ki yaqeed dahaani karwaata hai aur raasta bhi bataata hai keh aisa mumkin kaise hai.

lihaaza insaanu ko chahiye bande ke puttar banen aur quraan ke paighaam ke saath khilwaad band karen aur is ke asal paighaam ko saamne laayen warna insaani duniya ka ye haal jo khud hamaari apni aankhoon ke saamne hai koi badal hi nahin sakta.

issi liye agar logoon ko apni behtareen zindagi chahiye is duniya aur aakhirat main to un ko apne zindagi guzarne ke ghalat raaste chhorne hun ge aur deene islam ko poori tarah theek theek samajhna ho ga aur is ko apnaana ho ga poori imaandaari se. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE and HERE

lihaaza bhai bhai ban ker miljul ker jeena seekho ta keh ummat ban sako aur apni zindagi ki zaroorten poori ker sako izzato waqaar se insaanu ki tarah khud ko munazzam ker ke quraan ki bunyaad per.