رمضان میں راشن دیتے وقت ہر گز ایسا نہ کریں

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
jab tak log islam ko mazhab samajhte rahen ge in ki yahee haalat rahe gi. is liye keh mazhab aur secularism aik hi shai ke do rukh hen. aik ka taaluq sirf khudaa se hai aur doosre ka sirf duniya se. in ke muqaabil islam deen hai mazhab ya secularism nahin hai. is ka taaluq khudaa se bhi hai aur duniya se bhi.

mazhab insaanu ko khudaa parast to banaata hai magar ghalat tareeqe se. ye khudaa ke baare main insaanu ko ghalat tasawuraat deta hai. yahee maamla secularism ka hai keh ye duniya ke baare main insaanu ko ghalat tasawuraat deta hai.

yahee wajah hai saari duniya ke taqreeban sab hi insaan her tarah ki uljhanoo main ghire nazar aate hen. bunyaadi tor per ye insaanu ke apne unjaan pan hi ka nateeja hai keh insaanu ne khudaa ke baare main munaasib jaankaari se guraiz kiya huwa hai aur yahee maamla un ka is duniya ke haqaaiq ke baare main hai.

is liye jab tak insaan apni jahaalat se nikalne ki pur khuloos aur unthak mehnat per mabni jidojohd nahin karen ge apni museebatun se nikal hi nahin sakte. insaanu ke liye her museebat se nikalne ka saheeh aur kaaraamand taeeeqa sirf aur sirf quraan hi main darj hai aur kaheen nahin. is kitaab ko logoon ne theek tarah se samajhne ke liye padhna aik arse se chhora huwa hai.

log jab tak quraan ko theek tarah se samjhen ge nahin aur is ke program ko theek tarah se samajh ker is ko apne anjaam tak pohnchaayen ge nahin un ke masaail hal hone ka sawaal hi peda nahin hota. agar log is baat ko jald samajh jaayen ge to un ke masaail jaldi hal ho jaayen ge warna bhatakte rahen apne apne bebunyaad khayalaat main aur jailte rahen museebaten jo khud un ki apni jahaalat aur hatdharmi ka hi nateeja hen.

mazhab ne insaanu ko khudaa ka kia tasawur diya aur kia woh tasawur drust hai ya ho sakta hai?

ibtadayee tor per insaanu ka khayaal ye tha keh khudaa un ki muraaden poori karne waali koi hasti ho gi. yahee wajah hai her koi apni apni muraadun ki listen liye betha tha aur baitha hai aur khudaa ko apni apni muraaden manwaane ke liye tarah tarah ke amaal karta tha aur karta hai magar bechaarun ki bahot hi ziyaada muraaden kabhi poori nahin huin. issi liye bahot se log aisi hasti ko maanane se inkaar kerte aaye hen. is liye keh jab un ki baatun ki khudaa ke haan shanwayee hi nahin hai to phir khawamkhwaa apna waqt zaaya kyun karen. isse behtar hai woh apna waqt kisi aur kaam main lagaayen jisse kuchh haasil ho sake.

albatta kuchh logoon ki soch us buland simt bhi gayee keh shayad hamaara tasawure khudaa hi ghalat hai lihaaza ham ko drust tasawure khudaa ko talaash karna chahiye. yahee log the jin ko khudaa ne apni taraf se paighaam bhaije aur un ko drust tasawure khudaa se nawaaza.

yahee asal farq hai deene islam aur mazhab main khudaa ke tasawur ke baare main. mazhab khaalis insaani khayalaat ka majmua hai khudaa ke baare main yani jo insaanu ke zehn main baat ayee ussi ko drust samajh ker ussi per chalte rahe aur chale jaa rahe hen siwaaye un logoon ke jin ko mazhabi khayalaat mutmain na ker sake aur woh ya to khudaa ke wajood hi ke munkar ho ge ya phir un ki soch aur bhi buland satah per sochne lagi aur yun deene islam ka tasawure khudaa wajood main ayaa.

mazhabi logoon ke khudaa ke baare main tasawuraat.

ab sawaal peda hota hai deene islam ka tasawure khudaa kia hai?






mazhabi peshwaiyat ne logoon ko khudaa ke baare main ghalat tasawuraat diye aur phir un ko her tareeqe se aam kiya gayaa yoon duniya main gumrahi aam hui.