Logo ko kaisey kahein khud to itney tax laga rakhey hain har cheez pe. Logo ko encourage karney kay liaey pahley government ko tax kam karna parein gey. Tax kam karein to log khud-ba-khud solar ki taraf aa jaein. 1 kilowatt bijli agar solar se banai jaey to system pe taqreban 200,000 ka kharch aata hay yehi agar tax kam karein to adha ho sakta hay magar aisa kaam to ye karein gey hi nahi jis se awam ko relief miley. Agar mushkil mein hain to awam hain in ko kia ye log to generator bhi khareed saktey hain solar energy ka arrange bhi kar saktey magar in kay haan to bijli jati hi nahi sab muaaf hay in ko. In ko 24 ghantey bijli milti hay or wo bhi free. Jin ko solar system chahiey chahey kisi tarha bhi wo ro dho kay laga lain un kay liaey tax laga diaey hain or jo aasani se solar system arrange kar saktey hain un ko bijli free mein mil rahi hay. To ab aap hi bataein masla kaisey hal ho. Zara sochiey.