Typhoon
Senator (1k+ posts)
Musharraf or aaj ki hukoomat hi nahi, balke maazi ki hukoomate bhi hume is azaab me dalne kelye apna bharpoor kirdar ada kar chuki hein.
Hum ne makaan to bana lia lekin su ko ghar na bana sake. Quaid-e-azam ki qyadat me us waqt ke muslman ne naara lagaya ke hum ek independent qoum hein, humara rehn sehn, humare ethics, humari permanent values, humari moral values, humari social values, humare heroes, humari history, humari ideology, humara deen hume ek alag shnakht deta he, jiss ko jeene or implement karne kelie hum ek minority ban ke nahi reh sakte, is lie hum ek independent ryasat chahte hein. Wo Allah ke fazal se bani, lakho qurbanya de kar.
Lekin afsos ke hum ye noble task apni aane wali nassal me promote nahi kar sake.
Or kho gae. Aaj 62 saal baad bhi hum ye decide nahi kar pae ke hum kaha jana chahte hein. Secular nizam aur mazhabi ryasat ke darmyan humari kishti atki rahi. Kabhi socialism kabhi capitalism ke peeche bhagte rahe.
Humare political arena pe kabhi koi jamaat esi nahi ai jiss ne nazrya-e-Pakistan ko bunyad bana kar baat ko age chalaya ho.
Jabb tak ye shaour bedar nahi ho ga, hum kabhi kisi zalim dictator ke neeche, kabhi kissi corrupt businessman ke neeche, kabhi kissi landlord wadere ke neeche, kabhi kissi socialist fraud ke neeche parhe rahe ge.
Ek sajda jo hazaar sajdo se nijat deta he, sirf us sajde ki zarorat he. Sirf Allah ke nizam ke age sajda rez hone ki, sirf Allah ke akhri hukm ko constitution of the state banane ki der he, phir dekhna ye batil ke khuda, dour-e-jahiliyat me parhe kaba ke botoun ki tarha oundhe moo gir jae ge.
Kash khuda phir hume ek leader de jo Ibrahim ki justujoo rakhta ho, jo zarb-e-kaleem rakhta ho, jo qalb-e-saleem rakhta ho.
Lekin us kelye tehreek qoum ko khud peda karni ho gi, wo atish phir bedar karni ho gi jo jhoot ki har deewar ko pighla de.
Warna Musharraf or zardari ese hi bhes badal badal ke aate rahe ge, jese mir jafar or mir sadiq bhes badal badal ke aate rahe. Tareekh khud ko dohrati he. It`s like a circle. What goes around comes around. Cause and effect. Qanon-e-makaafaat.
Hum jiss bil se dasse jate hein agli dafa bhi hath phir wahi dalte hein.
According to the Quran, momin ki nishani ek ye bhi he, ke wo do martaba ek hi baat se nuqsan nahi uthata. Kionke pehli baar ghalti hoti he, lekin dosri bar laparvahi. Ghalti ka azaala he tauba.
Touba ke maani he wapis ajana. Aap shahrah-e-hayaat pe chale ja rahe hein, raste me ek choraha aya jaha se aap ek taraf ko murh gae. Chand qadam age chal kar apko ehsas hoa ke apke qadam ghalt simat uth gae hein. Sahi rasta ye nahi he. Ab apko sahi raste ki taraf jaane kelie us maqam tak lout kar ana ho ga jahan se apka qadam ghalt simat ko utha tha. Is wapsi ko touba kehte hein.
Zahir he ke is kelie apko chal ke wapis ana ho ga, wahi kharhe kharhe agar ap umar bhar bhi afsos karte rahenge ke me ne ghalt simat ko qadam utha lia to ye touba nahi ho gi.
Touba ek amli iqdam he jis se ghalti ko un-do kia jata he. Us ke muzar asraat ki talaafi ki jati he.
Hum sab pakistanio ko balke poore alme islam ko ye karna ho ga. Find where we lost the rope of Allah. Go back to our own system of life. Our own system of justice. Go back to our own system of economy and system of governance. Phir dekhna ke zara nam ho to ye matti kitni zarkhez he.
Pakistan Zindabad