Tonight with Jasmeen - 24th January 2011

Teacher

Citizen
Inqalab inqalab inqalab, qasam us pak fauj ko pakistan ki fauj apni pakee k saath Allah k mazloom bandon k liye nikal parey, khudara pakistan ko bachao mqm ki phillosophy ka saath do awam bilkul tayyar hey. Agar khoon bahey ga to ganda hi khoon bahey ga inshallah.
 

Teacher

Citizen
Jasmeen jang ki haalat men fauj ko awam ki zaroorat partee hey to civil defence k bahaney awam ka aslaha, awam ki taqat, awam k assasey kiyon istamal karte hen iska matlab ye hi hey k agar wo fauji wardee pehn kar pakistan aayengey to sub ko pata hey pakistan is waqt war/ real war (haalat e jang men hey) to kia bura hoga agar aik such muhibbe watan pakistani fauji wardee pehan kar jang men fauj k saana ba shaana khara hoga. Is baat se takleef sirf shareefon aur unke hawariyon ko hi ho gee kiyon k mazdoor aurat, mazdoor mard, male female students punjab aur pakistan men jaag chuka hey acha hoga imran khan bhi is inqalab men shirkat kar len phir in looteron ki aisi ki tasee. Fauj bandooq k saharey awam k samandar se nahi guzar saktee aur awam per fauj golee kiyon chalye jo usko har waqt salaam kartee nahi tahktee. G.a altaf hussain bhai g.a muttaheda, inqalab, inqalab, inqalab.
 

Teacher

Citizen
Bi bi jasmeen is dafa agar petrol price barheen to nawaz shareef ko chahiye k vote of no confidence launch kar k dikhaye har martaba is tarha ki baton se ye tawqqa kiyon ki jatee hey k mqm hukoomat se alag ho jaye baqee sub parties kia awam ko bewaqoof banatee rahengee pmln ko aik hafte ka moqa diya gaya kiyon no confidence move nahi kia. Jamhooriyat ka matlab na to nawaz shareef hey aur na hi bhuttoism aur ppp. Jamhooriyat aik tareeqa kar hey elect aur select karne ka jab dono raastey akhtiyar kar k awam bar bar dhoka kha rahey hen aur parlimentarian awam ko chey banaye ja rahey hen to phir is tareeq kar ko hi khatam hona chahiye jis k kandhon par beth kar ye do koree k log ameer ul momineen hone ka khwab dekhtey hen auladon ko iqtedar transfer karne k khwab dekhtey hen. Hum bhi (awam) bhi is martaba jamhooriyat ki new definition in looteron ko bataye gee aur oxford dictionary men is word ki meaning with translation ka bhi izafa karwa diya jayga. Koi saala governor sindh se jalta hey koi wafaq ki seats se koi mqm k mpa's sey magar apney gareebanon men jhankne se dartey hen. Abey bhai allah ne moqa diya hey in mqm k educated aur vesatile workers aur leader se kuch seekh lo training ley lo tumhari naslen sanwar jayengee. Allah ka shukar hey kahs tor per punjab ka yout aur student jag chuka hey aur mqm ki awaz ban chuka hey ye hi ballot ka inqalab aglee bari dekh lena apni ankhon se dekhtey hi leegiyon ko aashoobe chashm ki beemari lag jayegee.
 

Back
Top