Thr cruel times of Zia-ul-Haq

Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Chalain AASAAN kar lain kai JO LOOT MAAR Jamhoriat main hoi woh Wardi main na hoi

Siasatdano ki yeah corrupt poud bhi Zia ka hi aik inam tha, usnay political parties aur ideologies khatam karkay, aisay nikammay aur waderay siasatdaan paida kiye, jo 90's aur phir aajtak bhi hamaray hukamran banay howay hayn.... you can say, k hamari democracy real western democracy nahi balkay ziaocracy hay... ab pata nhi awam ko shaoor aatay aatay jab thora samaj aany lagay gi system ki tou phir koi wardi wala akay 10,15 saal beth jayega aur hamara mulk phir say 50 saal pechay chala jayega...
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
the greatest manhosiat for pakistan was people like Z A BHUTT and his daughter' fake rule.

Bhutto ka yeah qasoor tha k wo Pakistan ko world leader aur asian plus islamic power banana chahta tha, he gave the people of Pakistan their voice, people on the streets, people in villages, people from woking class...

Bhtto ki peoples party ka aik aik siasatdan nabgha e rozgar tha, yeah tou Zia nay aa kay , apnay masters k kehnay pay iss mulk ka satya naas kardya...
if you remain unbias and think, then tell me k Zia ka marshal law kiyon laga, kiya excuse tha uskay pass, pehlay tou lagna hi nhi chaye tha, lakin agar laga liya tou any valid reason? Except that he knowingly, or unknowingly followed the orders of his masters, jinhon nay hamaray neighbourhood mayn aik war larni thi and they needed an anti soviet, one man controlled government in Pakistan to fulfil their goals... jis din kaam khatam, ussi din Zia ki bhi chutti...
 
Lord Commander John Snow

MPA (400+ posts)
The cruel time for Pakistan was between 3 times PPP coming to power and did squat.
The 3 times Pml N came to power did squat + corruption + ruppee rate devalue to 160 to $.
Zia Ul Haq & Musarraf were the best things happened to Pakistan.
This idiot and all idiots with this post are failing to see the benefits of stability + economy.

Say that to the people who's family members and relatives disappeared by the hand of Zia just because they dared to speak up against him.

Say that to the people who dared to stand up to his tyranny and we're killed,

Say that to the people who were tortured and beaten for protesting against martial law
 
WatanDost

Chief Minister (5k+ posts)
Bhutto ka yeah qasoor tha k wo Pakistan ko world leader aur asian plus islamic power banana chahta tha, he gave the people of Pakistan their voice, people on the streets, people in villages, people from woking class...

Bhtto ki peoples party ka aik aik siasatdan nabgha e rozgar tha, yeah tou Zia nay aa kay , apnay masters k kehnay pay iss mulk ka satya naas kardya...
if you remain unbias and think, then tell me k Zia ka marshal law kiyon laga, kiya excuse tha uskay pass, pehlay tou lagna hi nhi chaye tha, lakin agar laga liya tou any valid reason? Except that he knowingly, or unknowingly followed the orders of his masters, jinhon nay hamaray neighbourhood mayn aik war larni thi and they needed an anti soviet, one man controlled government in Pakistan to fulfil their goals... jis din kaam khatam, ussi din Zia ki bhi chutti...

Muhtaram Bhutto aik Maalshi qisam ka mafad parast insaan tha Jis nai wazarat aazma hasil karnay tak SAB MUQTADIR halqoon ki khul kar TC ki aur bilaakhir apni HAWAS e IQTIDAAR ki aag main Bangladaish banwa gaya.
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Muhtaram Bhutto aik Maalshi qisam ka mafad parast insaan tha Jis nai wazarat aazma hasil karnay tak SAB MUQTADIR halqoon ki khul kar TC ki aur bilaakhir apni HAWAS e IQTIDAAR ki aag main Bangladaish banwa gaya.

Sir agar apki baat maan bhi li jaye k wo malishi kisam ka insan tha tou bhi yeah samaj kar k kisi change ko lanay k liye pehly apko kisi position mayn aana parta hay. App yeah kahayn k iqtedaar mayn aanay k baad usnay kesay iss mulk aur iskay ghareeb tabqa ki khidmat ki... uski khatr kha khidmat ko ignore karkay sirf yeh keh dena k wo malishi kisam ka insan tha jisnay hakoomat k liye muqtadar halqon ki tc ki, aik baray aur azeem leader k sath nainsafi hogi...

Sir such was his chrisma and ideology k aaj bhi log Bhutto ki misalayn detay hayn, Imran Khan say lay k, noon league aur Sindhion say lay kay Punjab k awam tak, Kiya yeah sab log pagal hayn k jo Zia ki bayshumaar propaganay k bawajood, establishment ki masakh shuda history k bawajood bhi Bhutto ki misal detay hayn? Nhi sir, Bhutto istemaar k khilaf apni Jan day kay aik icon bun chuka hay. Establishment aur Zardari ki bharpoor koshishon k baad bhi ajtak Bhutto ka naam bikta hay, tou kuch tou usmayn hoga....
 
Muhtaram
simple eg is Nawaz, he was bigger public favorite till the elections of 2018
 
Citizen X

President (40k+ posts)

Haan khoob khidmat ke, sub industry privatize kerdi aur Pakistan ko 2 hisson mein tord diya. Stop living in this dream that Bhutto some angel he was just another civilian dictator, just like the Sharifs. Benazir was democratic in thought but then Zardari put her to corruption.
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Muhtaram
simple eg is Nawaz, he was bigger public favorite till the elections of 2018

Yeh tou zayadati hay Sir, kahan Bhutto, kahan Nawaz Sharif.... kisko kis say mila rehay hayn... Ap Bhutto ko nhi maantay, na manayn, lakin yeah zulm tou na karayn..