Qoum kya he qoumo ki imamat kya he
ye kya jane ye bechare do takke ke ghulam
Kaira or iss jese baqi kair, najane kaha ki pedawar hein, lekin afsos ke ye jaraseem hum pe musallat kar diye jaate hein or hum siwae rone pitne ke kuch nahi karte.
Sirf do din, Allah ki qasam sirf do din ki maar hein ye sabb. Agar 10-20 hazaar pakistani youth ek organised tareeke se islamabad ja kar ek historical demonstration karein or mutalba karein ke ye humare ewano se chipki najayz or ghaleez jonke daffa ho jae, to ye ghaleez jonke do din me bahir nikal aein gi.
Haqeeqat mein in logo ka koi khandani background bhi nahi hota, ya to angrez ke kotte nehla kar jageere hasil ki hoti hein, ya phir kameeno ki tarha rishwat or loot ghasoot ka haram pesa hasil kar ke. Jese ye bechara zardari ka lounda Kaira, jo ek nobody tha, or zardari ka paltoo ban kar aaj wo wo dekh raha he jo is ki ouqat se barh kar he. Is ko to dress up hone ka saleeqa nahi. Do takke ka admi.
In ka koi deen imaan nahi, ye ek esi nasal se taluk rakhte hein, jin me Islam to kya insaaniyat bhi nahi.
Ye maqame-adam tak hi nahi pohnche. In ko khabar hi nahi ke insaan kya he, insaan ki zaat kya he, insaaniyat ka maqsad kya he. Islam or deen to bohot door ki baat he.
Ye do takke ke bhi nahi. Na qudrat ki nazar me or na hi insaniyat ke tarazo me.
In se acha to kotta hota he jis ko pyar or ehmyat do to ye ghaddari nahi karta balke jaan pe khel ke apna farz poora karta he.
Ek kahawat he, ke kotte ko shehed hazam nahi hota, ese hi bohot se kamzarf insaan jin ki zaat bohot choti hoti he, agar kisi onche maqam pe pohonch jae to phir pehle se bhi zyada passt or ghatya harkate karta he.
Bohot si esi misale humare samne hein.
Bohot se kotte ese hein jin ko shehed hazam nahi ho raha.
Lekin anqareeb khuda ka qanoon-e-makafat-e-amal in ko apne anjam tak pohnchae ga.
Excuse my language, lekin mere paas alfaz ki lughat me yehi qable tehreer alfaz the. Jo me likhna chahta houn, wo shayad zyada hardcore ho jate.