Rizq mein barkat 100% Guaranteed - Naeem Butt رزق میں برکت کا زبردست نسخہ
رزق میں برکت کے لیے رسول اللہ ﷺ کا بتایا ہوا ایسا زبردست عمل کہ نعیم بٹ صاحب اللہ کی قسم اٹھا کرکہہ رہے ہیں کہ جو یہ عمل کرلے اس کے رزق میں برکت ضرور ہوگی۔
Khudaa ne insaanu ko quraan diya hi issi liye hai ta keh woh us ka maqsade takhleeq jaan saken aur us ko poora karne main lag jaayen us tareeqe se jis ko quraan deene islam kehta hai. yahee asal taareef hai deene islam ki.
ab agar quraan khudaa ne insaanu ko apna maqsade takhleeq bataane ke liye diya hai aur ye bataane ke liye diya hai keh woh maqsad insaan kaise poora ker sakte hen to phir laazmi baat hai quraan aik bahot hi aham kitaab hai sab insaanu ke liye .
yahee wajah hai her kisi ke liye laazmi hai woh quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish main lag jaye. is liye keh jab tak koi quraan ko theek tarah se samjhe ga nahin woh us ke maqsad ko poora kaise kare ga?
mullaan ki badbakhti ye hai woh quraan ko theek tarah se samajhne se qaasir hai is liye keh us ke paas woh aloom hi nahin hen jo quraan ko theek tarah se samajhne main madad de sakte hen. ummat ki badbakhti ye hai is ne khud ilm haasil karne aur quraan ko theek tarah se samajhne ke bajaaye aankhen band ker ke mullaan ke peechhe chalne ko ikhtiyaar ker liya. ab saari ummat mullaan samait barbaadi ke dahaane per khadi hai apne befaaida, bebunyaad aur nuqsandeh balkeh tabah kun aqeedun aur amaal ki wajah se.