News Night with Talat 18th April 2012 - Imran Khan

InsafianPTI

Minister (2k+ posts)
thanks for clarification but i don't blame talat for this, yes this issue is too big and this jageerdar issue and land reforms is a saperate issue and this local govt system is for whole population, but pti leadership needs to clarify this,
I think Talat is the only anchor who has done two programmes on this and have raised some vaid questions which just need a clarifications (fauzi qasoori the other day failed to clarify this as well so its not talat's fault). I totally understand IK's position and I personally think that plan is reasonably good, there are related issues which need saperate policy and apparently pti is not fully prepared on them but i do know they are working on them.
Talat seemed genuinely interested in this and deserves appreciation unlike others specially Sana Bucha who are interested in gossip, rumors, blame games, controvercies and provocation.
and don't worry i don't do a hero worship of anyone, not even of talat and IK :), and in todays date I don't see him wrong.

why is that stupid???

yes they shouldn't expect him to get everything right with just one programme but this is their job to raise all the relavent questions, we need to understand this.
just because of one damn question he is degraded in ur eyes and just because that question is about women!!!!

what is all that about! I mean which centuary do u really live in?? dear tutor ! not only one question ,talat was acted like he couldnt understand what ik said in manner to deceave viewers.i m not against women, why do i ? my argue that didnt talat know the culture of villages ? then he asked so many stupid questions on election in villages ,if he was so concerned on this issue whyhe didnt attend pti confrence on this issue.i have watch his programes since 2007. n now i can tell u he is not that talat as he was b4 or whome we respected.one day u ppl will know this.
 

Zoaib

Minister (2k+ posts)
I watch Imran khan interview closely aik baat mein clear kar don keh mein PML N ka supporter nahin hon is leyey mein aik natural tajzia karta hon.....in first phase mein jab umer key barey mein discussion ho rahi thi to mein feel karta hon keh umer kee aik credibility hai par swal yeh hai keh jab Talaat ney imran sey pocha keh Umer wahi hai na jiss ney Sasti roti scheme kee audit kee thi aur usney kaha keh us mein koee irregularity nahin hai..keya umer aab woh sasti roti scheme mein irregularity samney layey ga ya yeh sirf alzamat kee siasat thi keh us mein ghapla hoa hai.....Imran bar bar sasti roti scheme mein ghapley kee baat karta tha par yahan keh raha hai keh aisa nahin hai..yeh baat confused karta hai
2nd Village ka jo govt ka jo imran keh raha hai mein ney note keya hai is mamiley mein Imran khan khud clear nahin hai...Woh England kee misal ya mianwali kee baat kr raha hai problem yeh hai keh village mein mazarey hotey hain aur aik jageerdar hota hai ...ab village mein election ho ga to wahan par to waderon jagerdar apney bandey kharey ga woh panchayat mein bethey ga aur uskey under police aur intizamia ho gee yeh to un logon ko aur powerfull bana raha hai..iska koee wazih jawab nahin mila....masaila yeh hai keh village govt ka jo idea deya hai yeh Jahangir tareen ney ya lagharion ney deya hai aur yeh woh log hain jo khud barey jagerdar hain..woh to woh scheme lain gey jiss sey un logon ko aur power miley....yeh cheez kuch samajh nahin ayee....plz yahan par agar koee logical jawab dey sakta ho to dey yeh noon league ka naukar waghera jaisey logon ko jawab deney kee zaroorat nahin hai jiss ko debate karni ho sirf woh jawab dey....mein PTI kee philosophy ko samajhna chahta hon

Sasti roti scheme ke baray mein IK ne koi comment nahin kya, usko general lia hai. As far as I know, Sasti roti mein major scam shayad na ho, laikin paisa zaya buhat hua neechay levels per, uske waja se woh faida nahin hua jo expect kia jaa raha tha (yaani implementation mein masail thay). Ye bhi aik naye baat sunee Talat se ke Asad Umar ne iske audit ke thee, we need more information on this and Asad Umar can clarify...

Baki local government ke baat hai, isse wadera ab se ZYADA powerful to nahin hoga. Kam azkam paisa ab MNA aur MPA ke paas to nahin jayega, jo apna kaam karengay (jo unko karna chahiye). Aur neechay level per village council mein itni zyada corruption nahin ho sakte ya agar hoge bhi to itni he jitne pehlay (kam log involve hongay). Waqt guzarne ke saath aik tareeqa to hoga aam gaon walay ko ke woh hissa le sake aur apne huqooq ke liye usi level per lar sake...

Akhir mein, ye village government ka idea Jahangir Tareen aur Legaharion ke taraf se nahin aya, balkay zyada tar Imran Khan ka apna tajweez karda hai with input from others. Imran Khan ka "panchayat" or "jirgay" ke baray mein buhat arsay se yahi khayal hai aur ye uske kitab mein bhi likha hai. Isse ke uper Human Rights walon ke taraf se tanqeed bhi kafi huee hai kyunke woh isko "karo kari" ke support mein samajhte hain. Aur
electables" se join karne se pehlay bhi Imran Khan ke videos hain meray paas jismein woh is village level devolution ke baat kar raha hai. To ye ghalat fehmi hai kuch logon ke ke waderon aur jagirdaron ka dya hua plan hai...

Umeed hai aap ke kuch ghalat fehmiyan door hogaye hongee...:)
 

Just_one

Banned
mnalam49
I watch Imran khan interview closely aik baat mein clear kar don keh mein PML N ka supporter nahin hon is leyey mein aik natural tajzia karta hon.....in first phase mein jab umer key barey mein discussion ho rahi thi to mein feel karta hon keh umer kee aik credibility hai par swal yeh hai keh jab Talaat ney imran sey pocha keh Umer wahi hai na jiss ney Sasti roti scheme kee audit kee thi aur usney kaha keh us mein koee irregularity nahin hai..keya umer aab woh sasti roti scheme mein irregularity samney layey ga ya yeh sirf alzamat kee siasat thi keh us mein ghapla hoa hai.....Imran bar bar sasti roti scheme mein ghapley kee baat karta tha par yahan keh raha hai keh aisa nahin hai..yeh baat confused karta hai
Pehli baat yeh hai ke Imran ne sasti roti scheme mein ghaplay ki ziada baat kabhi n ahi ki. Kiya aap evidence paish kar saktain hain? IK ka ikhtilaaf is policy ke vision se tha.Secondly, sasti rotti mein ghapla hai ya nahi - final verdict idaron ki reports or court hi kar sakta hai, ek audit report nahi. Tu agar zarorat ho gi to PTI government is isslue ko investigate kara le gi.Thirdly, Usad Umar ki nazar mein agar is scheme mein koi direct ghapla nahi hai, aur at the same time IK ne use apni party me accept kia tu is ka matlab ye hai ke IK differing view points ko mind nahi karta. Is mein confusino kia hai? confused talat tha aur aap hain?
2nd Village ka jo govt ka jo imran keh raha hai mein ney note keya hai is mamiley mein Imran khan khud clear nahin hai...Woh England kee misal ya mianwali kee baat kr raha hai problem yeh hai keh village mein mazarey hotey hain aur aik jageerdar hota hai ...ab village mein election ho ga to wahan par to waderon jagerdar apney bandey kharey ga woh panchayat mein bethey ga aur uskey under police aur intizamia ho gee yeh to un logon ko aur powerfull bana raha hai..iska koee wazih jawab nahin mila....
Again, IK confused nahi hai, confused aap hain or Talat hai!Government ko village ki had tak le jana logon ko empower karta hai - ye ek universal truth hai jo bahut se jagaon par apply ho chuka hai. Jo aap baat kar rahe ho vo RULE OF LAW se taulaq rakhti hai. Vo ek eladha masla hai.Kis ne kaha ke thana aur police zamindar ke under ho gi? Imran KHan ne baar baar police reforms ki baat ki hai. thana culture change karne ki baat ki hai. Aur ye policies saath saath implement hon gi.Tu agar thana independent ho ga, aur qanoon ke daire mein kaam kare ga, aur agar police civil sevants nahi balke law ke servants hon ge (jo IK ka plan hai) aur agar patwari system ko hi change kar dia jaye ga, tu wadaira ya jageerdar kaisay ghareeb logon ko expoit kar sake ga?Ye issue RULE OF LAW ka hai aur jab PM apne se rule of law apply kare ga to har powerful aadmi us ke neechay ho ga. Qanoon ek waidaray ko bhi punish kar sake ga.I hope you have understood.
masaila yeh hai keh village govt ka jo idea deya hai yeh Jahangir tareen ney ya lagharion ney deya hai aur yeh woh log hain jo khud barey jagerdar hain..woh to woh scheme lain gey jiss sey un logon ko aur power miley....yeh cheez kuch samajh nahin ayee....
Ye aap ilzaam laga rahain hain!IK ne village empowerent ke baat bahut pehla ke ki hoi hai. Ye plan IK ka brainchild hai. You aap conspiracy theory bana rahe ho na vo logical hai aur na haqaik us ke saath hain.
plz yahan par agar koee logical jawab dey sakta ho to dey yeh noon league ka naukar waghera jaisey logon ko jawab deney kee zaroorat nahin hai jiss ko debate karni ho sirf woh jawab dey....mein PTI kee philosophy ko samajhna chahta hon
Meine aap ko logical jawab de dia hai. Umeed hai ke aap is ko samajthne ki koshish karain ge ya logical jawab dein ge. Thanks.
 

Back
Top