Zardari ka koi kasoor nahin hai. Yeh sab awam ka kasoor hai jin ko zara bhi shaoor nahin hai. Woh apni be-waqoofi ki wajah se bhooke marten hain. Aaj bhi aap kisi gaon se 15-20 afrad pakar kar un se poochh len, woh Benazir ka naam len ge. Is ki wajah yeh hai keh un keh ilaqe ka MNA/MPA bhi zardari jaisa hai, aur us ki koshash yahi hai keh ghareeb adami ko shaoor na aye. Hamare un-parh logon mein, ethical values ki koi qeemat nahin hai. Benazir Income Support se bare bare zameen dar bhi mustafid ho rahe hain. Un ka kehna hai keh sarkar se agar tel bhi muft mile to jute mein dalwa lo.
Aap in mein shaoor kese layen ge? Yeh bohat saste bik jate hain. In hein apne vote ki ahmayat ka pata hi nahin hai. Jidhar gaon ke chaudhry ne keh dia udhar hi vote dal dia. Pakistan mein jamhooriat ek nakam nimame hakoomat hai. Mein ne TV Talks par in logon ki commentary sunni hai, Zaradi ki corruption par kehte hain, "Hor lokan vi te khada aye, zardari ne ka lia te ki hoya", Fauzia Wahab ke jawab par kehten hain, "Wah oye sher diye bachye, khush kita aye. Noon walian non mat das diti a.
Aap yahan kia karen ge. Pakistan mein hamesha aisi hi aur aise hi jamhooriat aye, aur aise he jaldi khatam ho gaye. Kayun keh hamein apne watan se mohabbat nahin hai. Hamara sab kuchh to mulk se bahar hai, Hamare siyasat danon ka yeh haal, keh woh siyasat se kamate hain aur mulk se bahar bhete jaten hain, jese ek ghareeb adami, dubai mein mazdoori karta hai, aur apni kamai Pakistan mein bhejta hai, aur hamare sayasat dan, Pakistan mein kamai karten hain aur bahar bhej dete hain, woh yahan siraf paisa kamane ke liye hain.
Martial Law wale bohat bure hain, keh woh jab halat khrab hote dekhte hain, to fourant take over kar lete hain, aur mulk ko sidha kar ke in logon ko de dete hain, 3 char salon mein siyasat dan mulak ko phir peechhe dhakel deten hain, aur jab halat zayada kharab hote hain to fauj phir aa jati hai, bas yahi chakar chalta rehta hai. AUR CHALTA RAHE GA.
Martial Law wale khench tan kar 9/10 saal nikal lete hain, magar jamhoori hakoomiat ne to 2/3 salon mein hi mulk ke gutne lagwa diye. Mujhe yaqin hai keh agar yeh hakoomat apne 5 saal pure kar gai, aur phir agli hakoomat bhi 5 saal pure kar gai, aur mulk sahi salamat raha, to kabhi martial law nahin lage ga, magar aisa lagta nahin hai. NAI NASAL KO GUZASHTA HAKOOMTON KI KARGARDI KE BARE MEIN AGHI KE LIYE, MERA MASHWARA HAI, KEH HAR AKHBAR HAR ROZE GUZASHTA HAKOOMTON KE ADWAR KI HAR DIN KI AKHBARI SURKHI SHAYA KAR DIA KAREN, AUR TUMAM TV CHANNEL, HAR US SURKHI PAR BEHAS KAREN.
PPP ka har ohade-dar PPP ki qurbanion ka zikar karta hai. Kia koi sahibe ilam un qurbanion par roshani dal sakta hai keh woh qurbanian kis ne din aur kayun aur kaise huin??
Agar Benazir jamhooriat ki itni hi pero kar thin, to Musharraf ke take over karte hi, watan wapas ati aur tumam se mil kar Musharraf ke khilaf tehreek shooroh karteen, Nawaz Sharif ko riha karwati aur Musharraf ko nakon chane chabwa deti. Us ne siraf yeh kia, keh Musharraf se Zaradari to mehfooz rakhne ki suretly li, aur musharraf ko qabool kar liya.