quraan ko agar padhna hi hai to is ko theek tarah se samajhne ke liye padho ta keh maloom to ho ye kis liye diya gayaa hai.
is ke nazool ka kuchh na kuchh maqsad hai us ko maloom ker ke us maqsad ko poora karne ka raasta maloom karo aur phir us raaste ko theek tarah se poori tarah apnaao ta keh woh maqsad poora ker sako. ye hai asal talaawate quraan.
sirf quraan ke ilfaaz ko tote ki tarah padh lena aur woh bhi sirf bila samjhe padhne ke liye jis ka kuchh maqsad hi na ho is ko quraan padhna kahaa hi nahin jaa sakta. ye to quraan ke saath khula mazaaq ho ga balkeh hai. isse to insaan ulta gunahgaar ho ga na ke sawaab haasil kare ga.
sawaab ke matlab hai faaida aur sawaab haasil karne ka matlab hai faaida haasil karna. faaida tab ho ga jab quraan ko is ke maqsad ko poora kerne ke liye padha jaaye ga. jab tak quraan ka diya huwa maqsad poora nahin ho ga faaida kaise ho ga?
agar ham khait main hal chalaate hen to is liye keh khait main ham ne fasal tayaar karni hai. is liye hal nahin chalaate ke ham ko hal chalaana hai. ye aik poora process hai jis ka faaida end pe ho ga jab process mukammal ho ga. yani faaida process ka end product hota hai. jab process hi naamukammal ho to faaida kaisa?