Re: Islamabad tonight - 22nd January 2012 - Dr Shahid Masood & Shah Mahmood Qureshi - Special Program
irfan siddiqi saab, agar aap wakai apnay aap ko danishwar samajhtay hain to is ka ye matlab nai hay k aap shareef brothran ka sirf is liye saath dain k wo bhi ****** hain, ya un k bhi sir pe baal nai hain, danishwar ka taluk sir k balon se nai hota balkay akal se hota hay, or akal ka taqaza ye hay k momin aik soragh se doosri dafa nai dasa jata or ye ****** to hamain 5, 6 dafa dass chukay hain, hamnay itnay chance diye inko lakin aap k ilawa or chand aap ki tara k akalmandon k ilawa kissi ko koi faida nai hoowa, na mulk main tarakee hoi, ab aaapp hi batain na, imran khan ko vote kyon na dain, wo abhi iqtidaar main aya bhi nai or itnayyyyyyyyyyyy kaam kargia pakistan k liye, or her jaga usnay pakistan ka naam roshan kiya, nawaz shareef hamari phupee ka baita to nai hay na k her dafa usay hi vote dain, ab buss karain yaar, aap ki shakal dekh kar mujhay wo darona rishwat or safarish se bhara dor yaad ata hay, main acha khasa pakistan k liye achay khwab dekhta hoon lakin jab aap ki tara k danishwar a jatay hain to saray khwabon ka bura haal ho jata hay really, aap mat aya karain tv pe, aap araam kiya karain sir jab inshallah acha dor ayga ham apko khud bula kar izzat daingay, or aap ko sharminda bhi nai hona paray ga. thank you.