FAISALA AAP KA - 30th January 2011

M javed

Banned
Sirf Punjab ke hi piche kyun per gai.

Altaf Bhai ne beginning ki aur shehd ki makhyaan bphr gaeen.

Yeh dekhna bhi zaroori hay ke aik province main centre ka amal dakhal kitna hota hay.

Agar jerh ko theek ker dya jae to shakhain khud ba khud theek ho jaati hain.

Boht saare shobe ese hain jin ka tallaq brah-e-raast markz se hay mslan electricity and Gass supplies. Markz ki bad-intzaami ki wagh se pore mulk ki economy khaas ker production ka shoba buri tarah se motassar hua hay.

Tum log sirf aur sirf aik subaee government ko bad-naam kerne ke liye aur desroon ko jhoota siasi faida dene ke lie Punjab ke zumme her buraee daal rahe ho.

Yeh socho yeh mulk ham sab ka hay. Punjab Pakistan se bahir nahein aur na hi woh apne moaamlaat centre se azaad ho ker chala raha hay.

Yeh baat qabl-e-ghor hay keh her doosre din Lahore main kyun seena-kobi shroo ho jaati hay.

Yeh batao yeh kiss ka agenda hay.

Lgta hay sirf Maulana Fazal ur Rehman hi nahein, media bhi siasat main apna hissa maang raha hay.

Media ko chahye ko wo kissi doosre ki zaban na bole balke impartial rahe aur wohi kre jo ke mulk ke interest main hay.

Kabhi Jageer-daar, kabhi wadere, Kabhi mohib-e-watan jernail, kabhi naam nihaad siastdaan aur kabhi yellow journlist. Satra krore awaam ki baari kab aae gi.
 
Last edited:

Back
Top