Dukhi insanyyt ki awaz ko sno. Warna yeh laava phat jaae ga.
Phir tumhare paas iss ka koi hall baaqi nahein rahay ga.
Sirf apni ayyasheyoon ko saamne na rakho.
Jo pessa tum loot loot kar pakistan se bahir le ja rahe ho aur london mein mahallat khareed rahe ho aur bahir ke bankoon mein jama karwa rahe ho. Yeh foran band hona chahye. Tum ne siyasast ko pessa banane ki machine bana liya.
Iss ko tao hamare bare khidmat kehte the.
Kuch khuda ka khof karo. Aaj mazdoor aur aam pakistani shehri moseebat main hay. Yeh sirf aur sirf tumhari bad unwaanyoon, loot maar aur bad intzaamyoon ki waja se he.
Yeh aag jo inn ghareeb shehyoon ke seenoon main laggi hui hey kal ko tumhaare daaman ko na lag jae. Yeh batao mr. Bhutto kitni doolat apne saath le kar challa gya, benazir kitni doolat apne saath le ker chali gaee. Insaanyyat ke dukh ko samjo-yeh loot maar hamesha nahein rahay gi. Aik din zaroor hissab dena pare ga. Lakri ki handya ziyadah der tak nahein charti. Khuda tumhein gaarat kray ay iss ghareeb mulk ko ghurbat, loot maar aur bad intezaami ka tohfa dene walo.yehi woh tohfa hay jo tum kehte the - jamhooriyyat behtrein inteqaam hay. Kya tum chahte ho iss mulk se hamesha hamesha ke liye jamhooriyyat ka janaza nikkal jae.