duniya main jo energy thi wohi hai. bas woh haalten badalti rehti hai maade aur energy ki soorat main. isi tarah maada bhi mukhtalif shaklen ikhtiyaar karta rehta hai. lihaaza yeh jahaan aik fixed shai hai is ehtabaar se yani nah is main energy kabhi kam hui hai na ziyaada.
albatta qadrati usoolun aur qawaneen ke mutaabiq maada mukhtalif shaklen ikhtiyaar karta chala aaya hai jaisi khudaa ne plan ki hen.
khush-haali insaanu ke apne haath main khudaa ne di hui hai. is liye keh yeh jahaan aur khudaa ka kalaam aik taraf aur insaani dimaagh doosri taraf. jab insaan aqlo fiker se kaam lena seekhte hen aur woh is jahaan aur khudaa ke kalaam ko samajhte hen aur phir sab kaamun ko theek tarah se karte hen to nateeja insaaniyat ki khush haali ki soorat main saamne aata hai.
khudaa ne jahaan banaa diya aur insaanu ko apna paighaam de diya, ab log jaane aur un ke kaam jaane. agar log yun baat ko samajh ker qadam uthaayen ge to nateeja achhaa nikle ga warna log nuqsaan uthaaye ge apne ghalat kaamun ki wajah se ya drust kaamun ko ghalat tareeqe se karne ki wajah se. khaiti apne waqt per boi jaaye to parwaan chade gi nahin to beej bhi zaaya ho jaaye ga aur mehnat bhi. duaayen insaani khawashaat hoti hen jo agar khudaa ke plan ke mutaabiq hun to poori ho jati hen warna nahin.
khudaa apna plan insaanu ki duaaon se nahin badalta warna jahaan ka nizaam hi darham barham ho jaaye agar khudaa logoon ke khawaishaat ke peechhe chalna shuroo ker de.