is tarah ki videos se pata chalta hai khud ko musalmaan kehlwaane waale aapas main aik doosre ko deene islam ke naam per kia kia sikhaate rahe. phir poochhate hen aik doosre se keh hamaare saath ye jo kuchh ho rahaa hai ye kyun ho rahaa hai? For better understanding of deen of islam from the quran see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE. bade bade padhe likhe degree yaafta insaan jo apne naamu ke saath dr bhi likhte hen issi jahaalat ka shikaar nazar aate hen. khudaa insaanu ko khud ehtmaadi sikhaata hai ta keh woh us ke diye ge maqsad ko jurrat, daanishmandi aur mehnato mushaqqqat se poora ker saken na keh musalle per baithe khudaa se kehte rahen keh tu mere liye ye ker de aur woh ker de. agar woh kaam jo khudaa ne insaanu se karwaane hen us ne khud hi kerne the to insaanu ko un kaamu ko kerne ka kehne ki us ko zaroorat hi kia thi ya phir us ko insaanu ko peda hi kerne ki kia zaroorat thi?
jin jin cheezun ki insaanu ko zaroorat thi khudaa ka maqsad poora kerne ke liye woh to khudaa ne un ko pehle hi mohiya ki hui hen to phir insaanu ka khudaa se kuchh bhi maangna kia maani rakhta hai? koi kisi ko kehta hai mere liye makaan banaa do aur woh us ko is maqsad ke liye sab kuchh mohiya ker deta hai to phir asal baat to woh kaam kerna hai jisse makaan tayaar ho jaaye na keh baith ker makaan banwaane waale se cheezen talab kerte rehna. isse to makaan nahin bane ga. yahee musalmaan ker rahe hen sadiyun se aur zaleelo khawaar ho rahe hen aur hote hi rahen ge jab tak yahee kuchh kerte rahen ge.
sahaara parwardigaar ka maangte hen aur jo sahaara us ne diya hai yaani us ki wahee us ko theek tarah se samajhne ke liye kabhi theek tareeqe se koshish hi nahin kerte taa keh asal paighaam ko samajh ker us ka maqsad poora karen us tareeqe se jo bataaya gayaa hai. bas apne apne bebunyaad zehni tasawuraat ke peechhe chale jaa rahe hen aankhen band kiye huwe.
khudaa ko insaan her waqt kehte hen ham per reham ker, kia aisa kehna drust hai? aisa kehna bilkul ghalat hai is liye keh koi aisa waqt hota hi nahin jab khudaa ki rehmat aam na ho. samajhne ki baat ye hai keh khudaa ne insaanu ko apni rehmat se faaida uthaana ka maqaam aur tareeqa bataa diya hai aur jo jo us tareeqe ko apnaata jaaye ga aur us maqaam per aata jaaye ga khudaa ki rehmat se faaida uthaata jaaye ga aur jo us tareeqe ki taraf nahin aaye ga ya us maqaam se door chala jaaye ga woh khud ko khudaa ki rehmat se door ker le ga. is main khudaa ka kiya qasoor hai agar log khud us ki rehmat ki taraf na aayen ya usse khud door chale jaayen? duniya ki abaadi 8 arab hai aur in baatun ko saamjhne waale nazarun se ojhal hen. ye to kuchh aisi baat ho gi keh aik jaga mosam bahot hi ganda hai to doosri taraf behtareen magar log khud ko wahaan le ge jahaan mosan bahot hi ganda hai aur waheen se baithe din raat shikaaiten kiye jaa rahe hen magar wahaan se achhi jaga aane ke liye kuchh bhi nahin ker rahe.
God does not work in mysterious ways rather he has told us his plan and purpose as well as the way he does things to fulfil his plan and purpose as well as our part in grand scheme of things. All we humans need to do is figure out his message for us properly and do what needs to be done so that purpose of God for creating all things including humans becomes fulfilled.
Whatever we need from God is told in the quran so figuring out the message in the quran properly is the right way to go or to know and do things. The quran is the help and support from God for humanity and there is nothing else that could help mankind.
Figuring out the right purpose of creation and the right way by which that purpose could be fulfilled by God and people partnership is the main thing. Get this wrong and you can end up ruined no matter what else you think or do.
musalmaanu ki jahaalat per mabni quraan ke ghalat tarjamen un ko le doobe hen aur ghair muslimu ko bhi un ki apni jahaalat aur hatdharmi barbaad ker rahee hai aur kerti rahe gi jab tak apne khudaa daad aqlo fiker se kaam nahin len ge.