islam deen hai mazhab nahin hai. deene islam mazhab aur secularism ke khilaaf aik challenge hai.
ye is liye keh mazhab aur secularism ka taaluq is duniya main theek tarah se rehne se hai hi nahin hai.
duniya main insaanu ke darmiyaan jitne bhi fasadaat ho rahe hen aur jo aaj tak huwe hen in ki bunyaad mazhab aur secularism hi tha aur hai aur rahe ga.
deene islam insaanu ke liye saheeh insaan ban ker jeene ka drust tareeqa hai jo insaanu ko khudaa ne diya hai.
insaan kabhi bhi is qaabil ho hi nahin sakte keh woh is duniya main theek tarah se jeene ka saheeh tareeqa khud jaan saken. ye un ki khudaa daad eliyato qaabliyat se baala baat hai.
zaraa is baat ko sochen keh agar koi aap se mashwara maange keh mujhe bataayen main is duniya main theek tarah se kaise jee sakta hun to aap ko is mashware ke liye kitna ilm darkaar ho ga taa keh aap us ko drust mashwara de saken aur aap ka mashwaraa us ke liye ghalat yani nuqsaan deh ya tabah kun saabit na ho?
is ke liye sab se pehle aap ko is duniya ki her shai ka her lihaaz se ilm darkaar hai. warna aap ko kia pata keh cheezen kia hen aur woh kia karti hen ya kyun karti hen ya kaise karti hen waghera waghera.
baghair ilm ke agar aap kisi ko kisi bhi baat ka mashwara den ge to us ki khair nahin. misaal ke tor per aap se koi gaadi ke baare main mashwara leta hai magar aap ko to gaadi ke mutaliq alif bay bhi nahin maloom to aap us ko kia mashwara de sakte hen?
khudaa ka insaanu ko bataana keh is duniya main woh kaise rahen koi mamooli baat nahin hai. agar ye mamooli baat hoti to sochen kia ham ko is ke liye khudaa ki hidaayat ki zaroorat hoti? nahin naa.
yahee wajah hai quraan ka sab insaanu ko khula challenge hai keh woh quraan ki tarah ki aik soorat bhi nahin laa sakte. sochne ki baat hai quraan ki sooratoon main hai kia?
malumaat keh insaan is duniya main theek tarah se kaise reh sakte hen. quraan ki aik chhoti soorat ko hi lijiye. al kausar 103 number soorat. is main kia maloomaat hen? yahee keh quraan al kausar hai. yani her khair ka mumba hai. jis ke paas quraan hai us ke paas her khair ki kunji hai. ye ilm hai is chhoti si soorat main.
ab quraan khair ka mumba hai ya nahin is baat ko jaanane ke liye ham ko quraan ko padh ker theek tarah se samajhna pade ga ta keh ham ye jaan saken is ka dawa drust hai ya ghalat. agar ham quraan ko paden ge hi nahin theek tarah se samajhne ke liye to phir ham kaise keh sakte hen is ka dawaa drust hai ya ghalat?
yahee nahin agar quraan drust hai bhi to ham ko kia maloom is ko kaise istemaal karen apni museebatun se nikalne ke liye? lihaaza quraan ko theek tarah se samajhne ke liye padhna shuroo karo ta keh isse faaida yani sawaab haasil ker sako. sawaab ka maani hi faaida haasil karna hota hai woh faaida jo issi duniya main ham sab ko saaf saaf nazar bhi aaye. yahee baat to is baat ka pakka saboot ho gi haqeeqat main keh quraan khudaa hi ki naazal karda kitaab hai insaanu ki apni likhi hui banaawati nahin hai.
iqbal marhoom ke is shaer ka yahee matalab hai. kabhi ae haqeeqate muntazar nazar aa libaase majaaz main. yani deene islam ka apni asli shakal main duniya bhar main nifaaz ka intazaar hai. jab aisa ho ga sab duniya ke insaanu ke dil khudaa ki mohabbat se poori tarah bhar jaayen ge aur tab woh sadaaye hamdo sanaa buland karen ge aur khudaa ki badayee haqeeqatan un ke saamen ho gi us ke nizaam ki soorat main jisse insaanu ki zindagiyan issi duniya main jannat ban jaayen gi. yahee wajah ho gi insaanu ki khudaa se mohabbat ki. issi liye khudaa bandoon se khush ho ga aur bande khudaa se. is liye keh dono jo kuchh aik doosre se expect karte the woh poora ho jaaye ga.
khud ko musalmaan kehlwaane waale hukamraanu, sarmayadaarun aur mullaaan aur un ke chamche kadchhun ne insaanu ko quraan ke asal paighaam se hi door ker diya hai apni jhooti baatoon ko deene islam bataa ker.
phir awaam ki ye sakht tareen ghalati keh woh bajaaye apne dimaagho hawaas ko theek tarah se istemalaa karne ke andhe ho ker mullaan ke peechhe chal pade aur un ke issi amal ki un ko duniya bhar main sazaa mil rahee hai aik doosre ke haathun keh woh khud apni banayee hui jahanam main din raat jal rahe hen.
un ki sab koshishen khud apni banayee hui jahanam se bhaagne ki nakaam issi liye hen keh woh her raasta apnaa rahe hen isse nikalne ke liye magar khudaa ka bataaya huwa drust raaste nahin. insaanu ki ye haalat us waqt tak rahe gi jab tak woh khudaa ke deen ko theek tarah se samajh ker is ko theek tarah se apnaaaye ge nahin.
lihaaza toba karo yani ghalat raastoon per chalna chhoro aur drust raaste ki taraf aao phir dekho insaaniyat ke din kaise baldalte hen jahaanam se jannat main khud insaanu hi ke haathun aik doosre ki madad se aik ummat ban ker khudaa ki is baadshahi main.
khudaa ka kaam insaanu ko is duniya main theek tarah se jeene ka raasta bataana tha so bataa diya. is per chalna ya na chalna insaanu ka kaam hai. chalen ge to issi duniya main woh mile ga jis ka waada hai aur nahin chalen ge to bhi issi duniya main woh mile ga jo bataa diya gayaa hai. yahee saboot hai khudaa ke kalaam ke sache hone ka jo hamaare saath ho rahaa hai aik doosre ke haathun.
jo kuchh yahaan ho rahaa hai waisa hi kuchh aage jaa ker bhi ho ga. yahee sach hai agar log ilm seekhen aur in baatun ko samajh saken. For a detailed explanation of things about the quran and deen of islam see
HERE and
HERE