pakistan is full of do numberi musalmans .
azeezam bootasingh sb, musalmaan do number nahin hen balkeh baaqi logoon ki tarah hi ziyaada tar musalmaan quraan ke asal paighaam se unjaan hen.
insaan do number ho hi nahin sakta kyunkeh us ka zameer us ko do number hone se rokta hai. albatta insaan majboor ho ker do number kaam zaroor ker sakta hai apne hi zameer ki awaaz ke khilaaf.
ab is baat se kuchh sawalaat peda hota hen, aik ye keh, insaani zameer kia hota hai aur woh kahaan se aata hai? doosra, kia insaani zameer sach aur jhoot ya ghalat aur saheeh ka mayaar ho sakta hai?
kia aap ke paas in sawaalat ke drust jawabaat hen? agar hen to aap zaroor mere saath share kijiye. in sawalaat ke jawabaat bade aham hen kyunkeh in ko jaane baghair insaanu ke aik number ya do number hone ka faisla nahin kiya jaa sakta.
regards and all the best.