Malik495
Chief Minister (5k+ posts)
Pakistan cricket team australian soil pr unhain shikist denay ka khuwab abhi tak poora nahi kr paee.. hr baar jeet samnay aa kr wapis laut jati hay.. aisa hi kuch iss tour men samnay aaraha hay.. batsman hon ya bowlers dono ne shaya dyeh ahad kr rakha hay k agar dono men se koi aik perform kray ga to doosra hr giz yeh ghalati nahi karay ga..
sydeny test k baad sydeny one day men bhi kuch aisa hi manzar samnay aya.. aik batting wickt pr 268 ka target yun lag raha tha jasay 400 runs hon. aur hamary batsman jin ki tangain yun kaanp rahin thin jasay un k samnya mcgrath aur shanewarne jasay world class bowlers bowling kr rahay hon...
Maloom nahi Coaches ki lambi line bhi hamaray players ki koi ghalati sudharnay men nakaam hain..
shayad ab waqt aagaya hay k hamari qoam ko ab cricket se juri sab umeedain khatm kr deni chayen..aj bangladesh zimbabwe aur canada jasi cricket teams k saath pakistan cricket ka naam lia ja raha hay iss se bahter yehi hay k jis tarah pakistan men international matches nahi ho saktay wesay hi pakistani team ko bhi international matches men bayizzati krwanay k bajaye khamoshi se ghar beth jana chaye..
Pakistani awam aaj kal jin museebato se guzar rahi hay wahan kisi taraf se bhi koi thandi hawa ka jhonka nahi araha.. aik cricket team hi thi jis pe kuch khushi k bahanay dhond liye jatay thay ab wo bhi shayad aatay cheeni aur bijli ki taraha nayaab ho gaye hain...