bhai aaj mein is lafaz 'lota' ki tashreeh chahta hoon keh bata dein keh yeh kia hai?agar lota woh hai keh jo agar is liye kisi nizam ya jammat se alag ho jaye keh woh sach jammat nahin hai ya haq ki baat nahin karti phir us se juda hona lautapan hai tau janab mein un tamam loton ki tareef aur himayat karta hoon.kyun keh pakistan ke baani bhi pehle congress mein the aur kitne bars ikhte rahe lekin jab samajh a gayee tau juda ho gey ab bataein kia kahein ge janab.baat yaheen nahin rukhti us se bhi aage chale jayein.kaise kaise jaleel ul qadr sahaba(ra) the jo pehle kufar ke nizam ke saath the lekin baad mein musalman ho gey tau kia ab un ke baare mein kia kahein ge hazoor?fazool shaks, khud ko buqrat samajta hey. Lotey pti mein shamil ho rahein hein tu koe baat nahe, constituency kee siasat aur blah blah. Yehi log kal tak boury they.
Lifafa journalist
Janab chodiye ab awam ko samajh a rahi hai aur imran ki mukhalaft karner ke liye koi new dallel dhoondiye warna aap ki is daleel ka woh hashar ho ga keh tarekh mein gum ho jayen ge sab naqad jo sirf bughz e imran mein tareekh ko bhi paltna chahte hain.jhooton ke nazadeeq jo sachai ke taraf a jaye tau woh lota hota hai tau haan hum hain.balkeh mein request karoon ga her us shakhas se jo imran ka supporter hai keh khudara is munafqana soch se ghabraiye mat balkeh aur ziada mazbooti ka muzahira karein.inshallah woh din door nahin jab yeh log bhi imaan le ayein ge.