agar ham ne quran ko kabhi samajne ke liye padha hota to ham ko pata chalta jis islam ke peechhe ham badnaam ho rehe hen woh asal main islam hi nahin hai. yeh islam hamaare baadshahun, mullahs aur sarmayadarun ka banaaya hua islam hai.
issi liye to is main baadshahat drust samjhi jaati thi, mullaiyat aur mazhabi zehniyat drust samjhi jaati thi aur sab se badh kar yeh keh is main munaafa ke liye tijaarat ko drust samjh gayaa hai. in sab baatun main agar aap ke sar main dimaagh naam ki koi shai hai to insaniyat ka istresaal saaf saaf nazar aaye ga.
sood haraam nahin hai balkeh musalmaanu main aapas main tijaarat ke tor par maalaat karna haraam hai. jis main ummat aur is ke sar phire mullah barkat barkat ki rat lagaate phir rehe hen sadyun se.
agar kabhi hosh aaye to surah mujaadilah aur surah hashar ko ghor se padhna. aakhir yahoodiyun ke khilaaf hamaari ladayee hi kiya thi? yahee ke woh karobaar ke naam par logoon ka istehsaal karte the.
kia aap baadash ban kar insaaniyat ko bradary banaa sakte hen? aisa kabhi bhi mumkin hi nahin. agar hai to baat karo. yeh hai aap ke mullah ka taraasha huwa islam aur is ki haqeeqat.
kia aap mazhabi bunyaad par logoon main aapas main bhai chaara qaaim kar sakte hen? nahin is liye keh mazhab insaan ko asal duniya aur isse mutalqa lawaazmaat se door kar deta hai. isse logoon ki zindagi se khudaa nikaal diya jaata hai aur yun insaani istehsal ki rah hamwaar ho jaati hai aur yahee wajah hai islam mazhab nahin balkeh deen hai. mazhab to aik istehsaali nizaam ki madadgaar shai hai. laikin soche ga kon?
tijaarat jis main log barkat dekhte hen ussi ne to aaj logoon ki maan bahen aik kar di hai, kia abhi bhi logoon ko hosh nahin aaya keh yeh sab hukmaraanu, mullaanu aur tajaarti pesha logoon ke phelaaye huwe hathkande hen?
islam ke asal tasawuraat ko phir se talaash karne ki aadat daalo agar duniya ko badalna hai behtari ke liye warna apne sar farshun par mullah ke kehne ke mutaabiq phatakhte raho kuchh haasil hone waala nahin.
kuchh inhi baatun ki waajah se sir syed, iqbal, jinnah and parwez jaise logoon ne qowm ko jagaane ki koshishen ki thin magar qowm hai keh us waqt jaage gi jab is ki mowt ka waqt sar par aan pohche ga.
kia musalmaan kehlwaane waale sab log hi ghoro fikar se aari hen? itni chhoti chhoti baaten bhi log samajhne se qaasir hen?
have mankind understood the quran properly?
http://www.jangforum.net/index.php?PHPSESSID=q49fqk4jktgcutk3tfcg1t6fv3&topic=5206.0