Har Rooz Shave Karne Ke Nuqsanaat

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Har_Roz_Shave_karne_ke_nuqsan.jpg

Har_Roz_Shave_karne_ke_nuqsan.png
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
What a bullshit....
Darhi rakhna sunnat he....sunnat he farz nahi...agar namaz ki sunnat na parhne se banda gunehgar nahi hota to darhi na rakhne se gunehgar kaise ho sakta he.
Darhi to Abu Jahel ki bhi thi......darhi waale log londebazi bhi karte hein, rape bhi karte hein...chori bhi karte hein...fraud bhi karte hein....siasat bhi chamkate hein....har gunnah karte hein.....to sabit ye hoa keh darhi se insaan ki na to fitrat badalti he or na kirdar.
To darhi na rakhna gunnah kaise ho gaya??????
Darhio wale jagah jagah phatt bhi jate hein...or kai masoom logo ko qatal bhi kar dete hein.....Quran ka farman he...ke aik insaan ka qatal puri insaniyat ka qatal he...darhi walo ne ab tak insaniyat ko kitni baar qatal kiya he phir?
Darhi mein Islam nahi he...insaan ke amaale husna mein Islam he.

Please guzarish he ke apne amaal pe focus rakhye jinki jaanch parhtaal ke baad saza or jaza ke peymane pe naapa jae ga....darhi ki lambai se na Allah ko interest he or na hi uska rasool kehta he ke zahiri shakal ki waja se jannat ya jahannum ka faisla hona he.

Aap logo ke amaal hein jo aapko insaan ya hewaan banate hein.

Darhi to ghar ki kheti he....sab se aasan kaam he...shave karna chorh do.

Shave karne se koi nuqsaan nahi hota jo thread starter ne likha he...its all just bullshit.
Eczema aik auto-immune disease he jo T-cells ke activate hone se hoti he or iska taluq shave se nahi he. Baghloun ke baal saaf karne se baghlon mein eczema kion nahi hota????????????????????????
Or bhi jaga hein jo zyada nazuk hein wahan shave ke bkade se eczema kion nahi hota??

Beenai ka taluq or germs ka jism mein daakhil ho jana...lolz....baghlon mein paseena bhi zyada aata he...jaraseem bathroom wali jaga pe zyada hote hein...wahan to shave karne se germs nahi ghuste andar...chehre mein ghuss jate hein???

Yaar aqal ko hath maaro....kisi neem hakeem ki kitab parh li he or yahan esi betuqi jhuti baat phela rahe ho...jiska na sar he na per.

Darhi itni zarori hoti to Allah ne Quran mein iski koi na koi hidayt di hoti.....ye har kisi ka personal mamla he...jo rakhna chahe rakhe jo na rakhna chahe na rakhe.
Insaaniyat ka meyaar agar darhi banana he to pehle darhi walo ko insaan bana lo.
 
Last edited:

MUmmah1

MPA (400+ posts)
What about women, they do not shave, but still have wrinkles, pimples, allergies, and many other skin diseases, and in average more than men? Just to prove your point about beard, you stretched an argument too much, that it lost its credibility, sorry.
 

Khuram Shehzad Jafri

Minister (2k+ posts)
داڑھی نہ رکھنے والا سخت گنہگار ہے ؟؟

سہراب بھائی

اس کا اسلامی حوالہ دیں
میں نے تو نہیں کہیں سنا یہ کے سخت گناہ کا مرتکب ہوگا بندہ

ہاں داڑھی رکھنا سنّت ہے لیکن سنّت اس چیز کو کہتے ہیں جو کرو تو ثواب ہے لیکن نہ کرو تو کوئی گناہ نہیں ہے

پتا نہیں لوگ اسلام کا چیرہ بدلنے پر اپنی توانیاں کیوں لگا رہے ہیں اتنے
 

Shareef

Minister (2k+ posts)
What a bullshit....
Darhi rakhna sunnat he....sunnat he farz nahi...agar namaz ki sunnat na parhne se banda gunehgar nahi hota to darhi na rakhne se gunehgar kaise ho sakta he.
Darhi to Abu Jahel ki bhi thi......darhi waale log londebazi bhi karte hein, rape bhi karte hein...chori bhi karte hein...fraud bhi karte hein....siasat bhi chamkate hein....har gunnah karte hein.....to sabit ye hoa keh darhi se insaan ki na to fitrat badalti he or na kirdar.
To darhi na rakhna gunnah kaise ho gaya??????
Darhio wale jagah jagah phatt bhi jate hein...or kai masoom logo ko qatal bhi kar dete hein.....Quran ka farman he...ke aik insaan ka qatal puri insaniyat ka qatal he...darhi walo ne ab tak insaniyat ko kitni baar qatal kiya he phir?
Darhi mein Islam nahi he...insaan ke amaale husna mein Islam he.

Please guzarish he ke apne amaal pe focus rakhye jinki jaanch parhtaal ke baad saza or jaza ke peymane pe naapa jae ga....darhi ki lambai se na Allah ko interest he or na hi uska rasool kehta he ke zahiri shakal ki waja se jannat ya jahannum ka faisla hona he.

Aap logo ke amaal hein jo aapko insaan ya hewaan banate hein.

Darhi to ghar ki kheti he....sab se aasan kaam he...shave karna chorh do.

Shave karne se koi nuqsaan nahi hota jo thread starter ne likha he...its all just bullshit.
Eczema aik auto-immune disease he jo T-cells ke activate hone se hoti he or iska taluq shave se nahi he. Baghloun ke baal saaf karne se baghlon mein eczema kion nahi hota????????????????????????
Or bhi jaga hein jo zyada nazuk hein wahan shave ke bkade se eczema kion nahi hota??

Beenai ka taluq or germs ka jism mein daakhil ho jana...lolz....baghlon mein paseena bhi zyada aata he...jaraseem bathroom wali jaga pe zyada hote hein...wahan to shave karne se germs nahi ghuste andar...chehre mein ghuss jate hein???

Yaar aqal ko hath maaro....kisi neem hakeem ki kitab parh li he or yahan esi betuqi jhuti baat phela rahe ho...jiska na sar he na per.

Darhi itni zarori hoti to Allah ne Quran mein iski koi na koi hidayt di hoti.....ye har kisi ka personal mamla he...jo rakhna chahe rakhe jo na rakhna chahe na rakhe.
Insaaniyat ka meyaar agar darhi banana he to pehle darhi walo ko insaan bana lo.
Couldn't agree more. Momin ki pehchan uske aamaal se hey na ke uski darhi se. Huzoor pak ke zamanay mey darhi ka riwaj tha aur sab bashamool kufaar darhi rakhtay thay. Asal sunat tow 'Saadiq' aur 'Ameen' banna hei, jo us waqt (aur aaj bhi) har kisi ke bas mae nehi tha, aur jo huzoor paak ko auron say mumtaz kerta tha. Bakhuda Sadaqat aur Amanat ki sunat per baat kijeiy. jism ke balon per waqt zaieh na kijiey.
 

Back
Top