mullaan ki baaten aaj bhi waisi hi uljhi hui hen jaise kisi zamaane main thin. jab tak mullaan ko asal deene islam ka pata nahin chalta ya woh is ka pata nahin chalaate in ka yahee haal rahe ga.
asal deene islam khudaa ki taraf se insaanu ke liye aik tehreek hai aik behtareen insaani maashra qaaim kerne ki is duniya main.
islam ko sirf aur sirf issi tanaazur main hi dekha jaa sakta hai baaqi sab mullaan ki manghadat baaten hen jin ka na koi sar hai na hi paer.
sabr ke maani bhi issi tanaazur main steadfastness hen yani haq baat ko maloom ker ke us per dat jaana aur us ko dat ker aage pohnchaana. taa keh deegar insaan bhi islam ko saheeh tarah se jaan saken aur phir is ko theek tarah se apnaa saken aur yun apne tamaam masaail ko mil jul hal ker hal ker saken aur apni tamaam zarooriyaate zindagi ko poora ker saken aik doosre ki poori poori madad se.
jab se mullaan ne deen ko mazhabi libaas pehnaaya hai yani mazhab hi ko islam kehna shuroo kiya hai tab se islam na kisi ko samajh main aaya hai aur na hi kisi ki samajh main aa hi sakta hai.
mazhab ke zariye kuchh haraami insaanu ne deegar insaanu ko sadiyun se bewaqoof banaaya huwa hai keh mazhab naam hi khudaa ke naam per insaanu ko bewaqoof banaane ka hai. mullaan shuroo din se hukamraanu aur sarmadaarun ke kutte rahe hen jo in ke liye doosre insaanu ko jaanwar banaate rahe hen taa keh woh in ko apne haraami maqaasid ke liye istemaal ker saken aur kerte rahen.
issi liye asal deene islam ki duniya bhar main badnaami ka baais mullaan hi to hen. jo islam ke naam per her tarah ki kharafaat apni tehreerun main likhte rahe hen jisse log asal deene islam se hi motanafar hote rahe hen aur abhi tak ho rahe hen.
phir jis islam ko mullaan phelaate rahe hen ya phelaa rahe hen dekhna ye hai us ne insaaniyat ko kia diya hai ya insaaniyat ke liye kia kiya hai ya insaaniyat ko kia de sakta hai aur insaaniyat ke liye kia ker sakta hai? woh to sirf aur sirf insaaniyat ko nuqsaan dar nuqsaan hi pohnchaata rahaa hai aur pohnchaa rahaa hai.
ye islam to insaanu ko peeth oopar ker ke naak ko zameen per ragdaane waala islam hai jis main salaamti ke bajaaye insaaniyat ki tazleel ke siwaa kuchh bhi nahin hai. ye islam to logoon ka fazool baatun aur kaamun main waqt barbaad kerne waala islam hai. issi liye aise musalmaan insaaniyat ko kabhi bhi kuchh bhi de hi nahin sakte keh aise musalmaan to khud apne liye bhi kuchh ker hi nahin sakte auroon ko kia den ge ya auroon ke liye kia karen ge? asal deene islam kia hai? See
HERE.