Kya Pathar Qismat Badal Sakta Hay

Ali raza babar

Chief Minister (5k+ posts)
pathar say koi tawako rakhna shirk ki kisam hai .. lekin wesay shok ke liye pehan lenay mein koi aar bi nahi . jo pehanna chata hai pehannay do han jo akeeda rakhey ke yeh kuch karey ga who ghalat hai

khuda kay ilawa kisi bhi cheez say umeed lagana bewaqoofi hai laikin agar aap ko science ka pata ho kay yeh pather kaisay kaam kertay hein then yeh waisay hi hay jaisay radiation say ilaaj.
Colors say ilaj. Surah rehmaan say ilaaj .

Yeh sab game frequency ki hy
 

ali-raj

Chief Minister (5k+ posts)
Nabi Kareem pbuh ney sirf Muhare-e-Nabowat wali angothi pehni hai. us key ilawa koi nahin. Haqeeq wali baat kuch khas public ney urrai hai. aur zuban par aam ho gai hai. Jo parthar key buton ko girata tha, woh eik pathar ko kion apnay jism sey laga kar rakhey ga?

Angothi zewar hai, aur mard ka zewar sirf Hathiyar hai, Yeh bhi Nabi Kareem ney he farmaya hai. Tu bhai, Agar zewar ka shoq hai, tu hathyar sajao, na key pathar ki angothi.
 

zubair1234

Senator (1k+ posts)
Re: kya pathar qismat badal sakta hai


yaar aap mujhe yeh batao ke Islam ne yeh kahan hukam diya hai ke Haqeeq , feroza , Yaqoot , neelam , Marjan mat pehno

bus mujhe itna bata do

Sirf Gold ki mumanihat hai bus

ضرور استعمال کرو لیکن عقیدہ درست رکھو اس سے امید وابستہ نہ کرو شاید میری بات سمجھ میں اگئ ہوگی انشا اللہ

 

zubair1234

Senator (1k+ posts)
Nabi Kareem pbuh ney sirf Muhare-e-Nabowat wali angothi pehni hai. us key ilawa koi nahin. Haqeeq wali baat kuch khas public ney urrai hai. aur zuban par aam ho gai hai. Jo parthar key buton ko girata tha, woh eik pathar ko kion apnay jism sey laga kar rakhey ga?

Angothi zewar hai, aur mard ka zewar sirf Hathiyar hai, Yeh bhi Nabi Kareem ney he farmaya hai. Tu bhai, Agar zewar ka shoq hai, tu hathyar sajao, na key pathar ki angothi.
:jazak::mash::You_Rock_Emoticon::You_Rock_Emoticon::You_Rock_Emoticon:
 

sensible

Chief Minister (5k+ posts)
Re: kya pathar qismat badal sakta hai

shetan bhee Allah kee thakhliq hai bhai phir usko bhee pujna shoro karo[/QUOT
poojne ki baat app ki samjh mien kahan se aai?
kuch makhsoos pathroon ke pehanne se insani jisam per dil per dimagh per ache asrat muratab hote hien yeh keh kar duniya mien pathar beche jate hien taqdeer badalne ki baat siraf pak o hind mien hi ki jaati hai.mera bass itna matlab tha.baqi mujhe ALLAH ko hi poojna hai koi cheez mujhe faieda o nuqsan bhi pahunchaaie tu bhi mera eeman hai woh ALLAH hi ki taraf se ata hai.