Kia Pakistan men elections credibility ki bunyad pe laray jatay hen????????

Malik495

Chief Minister (5k+ posts)
Election aur credibility shayad pakistani politics men ab se nahi balkay buht pahlay se 2 alag alag cheezain rahi hen...
Pakistan men siasat credibility se nahi siasi chalon aur makr-o-faraib se jeetay jatay hain... pichlay 64 salon men na to koi credible wujoohat ki bina pr hukoomat bani aur na hi kisi dictator ne yahan apni credibilty k dam pr iss mulk pe raaj kia.... pakistani elections men log vote daltay waqt sochnay ki zahmat nahi krtay... iss ki sab se bari waja bhair chaal hay ..family k baray ka faisla hi hatmi hua krta hay k jis ko family ka bara vote de ga usi ko family k baqi sab log dain gay.,. iss men khawateen to shayad bilkul hi sochnay samjhnay ki himmat nahi krtin kion k faisla mard krta hay..ghar men agar 2 mard hen aur 6 khawateen to samjho uss ghar men 8 vote hen aik mard k...pakistan men election k through revolution ana shayad mushkil hi nahi balkay na mumkin hi hay... iss ki taaza misaal to shayd azad kashmir k new elections hen....yeh mulk dunia men itna badnaam kabhi nahi hua corruption k naam pr jitna ppp ki iss govt ne kr dia hay lakin log aaj bhi ankhain kaan band kr k teer pr thappa laganay men dair nahi krtay...
najanay kahan se wo soch aur wo fikr hamari qom men aye gi k jis ki waja se yeh jalay hoy kartoos dubara iqtidaar men na aa sakain... mere nazdeek shayad kabhi aisa mumkin na ho....
aap kia kahty hen....
 

yeh-cheez

Minister (2k+ posts)
pk mein elections....zaat baradri, jageerdari, 50 rs, or biryani ki plate k bunyaad par laray jaatay hein.....aaj in say 50 rs lay kar biryani khaao..kal jis ka jalsa hoga wahan chalein gay or wahan say khaein gay...kam az kam aik time ka khana to free milay ga.....mulki mufaad gaya t**l laynay...!!
 

w-a-n-t-e-d-

Minister (2k+ posts)
Agar credibility ki bunyad pay hotay yani achay kirdar k hamil log jinka awam main asar ho tu "Shokat Aziz" kabhi wazer-e-azam na banta fazlur rehman banta

MMA ko etni seats mil chuki thi k fazlur rehman ba-asani wazer-e-azam banta magar amrica nay aysa nahi honay dea na musharraff ki yeh khowahish thi...


interior country main zaat biradri jagedaro wadero or gernal colonal ki badhmashi chalti hai...

karachi main jiska zor jis area main chalay wo jeet ta hai..


mqm k leyh mery 2 dosto nay kamaz kam 2500 vote dalay ek ghar main beth k :P


rangers ki sarparasti mqm or ppp ko hasil rahi....


Ba-khuda mery muhallay k log mqm ko he vote dayny gay thay magar un k vote pehlay he deyh ja chukkay thay jis pay unho nay shadeed narazgi
ka izhaar kia or tauba ki k yeh dhandli hummay manzoor nahi hum tu dil say daynay ayy thay magar yeh log dal k bethay hain yeh fair nahi..

Liyari k area main Abdul rehman daket polling both k bahir chair rakh k betha tha rangers doorh thi or dhaba dhab jinnaat vote cast karrahay thay ppp ko..


gulshan-e-iqbal main ppp or mqm k faisal raza abdi or oska sadho rishtay daar haider abbas rizvi k hami larhtay rahay rangers khamosh rahi k duno he
aqa ghq k ghulam hain apes main laga rehny do bil akhir mqm ko he jeta dea gea wahaan say... kiuon k wo polling k amlay ko aghwa he kar k lay gay thay :p


tu bhai yeh tu karachi ka haal hain ek mohazzib parhay likhay city ka


tu interior main kia hota hoga soch k he khoof ata hai