Advertisement

ظالموں کی طرف مائل نہ ہونا

10590556_742007725845450_3785676519975314891_n.png
 
Advertisement
Wah Mayray Moula...

Jo Gunah aur haram hay uss ki to saza hay hi...
Jo Allow hay aur Halal hay uss ka bi hisaab dayna hay...

Aasaan nahi hay Musalmaan hona.. :Eyecrazy:
 
Advertisement
حکمرانوں اور لیڈروں کو کوسنے سے پہلے اپنے اجتماعی اور انفرادی اعمال کا محاسبہ کرنا چاہیے اور اس بارے میں واضح احکامات بھی موجود ہیں
 
Question is who is the best option of the available lot, keeping in mind the past record and the conduct of all the present leaders then he is none other but Imran Khan only.
 
is aayat main Allah taala insaanu ko yeh bataa rahaa hai khabardaar aise logoon ki tarze zindagi na apaana jo zaati mufaad ki khaatir aik doorse par zulmo ziyaadati karte hen warna aapas main nafrat ki aag main jal jaao ge. Allah ham ko pyar muhabbat izzato ehtaraam ke saath jeene ka raasta bataata hai aur farmaata hai is ke bataaye huwe raaste se alag raastun par na chal nikalna warna pachhtaao ge ge kyunkeh phir aap tanhaa tanhaa reh jaao ge.

isi liye deene islam ka asal perokaar wohee hai jo khudaa aur bandun se pyaro muhabbat se pesh aata hai, izato ehtaraam ko hamesha malhooze khaatir rakhta hai.

deen ko deen samajh kar samjhne ki koshish karen ge to hamaare sab masaail hal ho jaayen ge agar ham ne deen par amal kiya warna masaail badhte jaayen ge aur ham log har guzarte din ke saath ziyada se ziyada pareahaan hote jaayen ge.

leader peda karne padte hen peda hote nahin hen. jis qowm ko ilm, aqlo fikar aur tadbeer se kaam na ho woh leader kia peda kare gi? is liye zaroori hai ham in baatun ki taraf poori tawaja den warna ham khud apni peda karda zunjeerun main jakde rahen ge.

khudaa ne aaj tak us qowm ki haalat nahin badli.........


http://www.youtube.com/watch?v=6RA5XAdbJ04