Bari simple story ha MQM ur Altaf ki.General Zia ne Bhutto ko Phansi de kar Karachi jesay ehmam port city ko PPP se bachanay ke lia Altaf ko agay kia.pori support ki MQM jesi lisani party bana ney mein..Altaf ko apnay..paraya sab bando ko marnay ki khuli chutti di.Paiso ke lia bhatta khori allowed ki.Jab Altaf Don ban gia tu phir ussay side line kar dia.Us waqt tak Zardari Corrupt PPP par qabza kar chuka tha.No tension for Army..IK ki wajah se MQM Karachi mein bina Altaf ke terror se bikhar gae..Sabaq story ka ye ha ke Company hi peechay thi Altaf ur MQM ke.
Compy ne hi banaya MQM ko.aur Company ne hi khatam kia.Altaf Don ban ke USA..India aur baqi Anti.Pakistan countries..agencies se direct deals karnay laga tha.MQM ki apas ki larae aur Karachi par qabzay ke lia hazaro logo ki janain li gae.Karachi ke Urdu speaking logo ki do nasalain tabah ho gae MQM ke chakar mein.Iss gunah mein Altaf ke elwah hamari Military Establishment barabar ki zimah dar ha..Kuch Karachi ke logo ki buzdali bhi shamal ha.Jo Altaf ke khouf se uff tak nahi kartay they.total brainwashed bhi they.